TAZMEEN KALAM KOI GUL BAAQI RAHEGA BY SABIR RAZA AZHARI
BAREILLY NETWORK
0:00 / 0:00
TAZMEEN KALAM KOI GUL BAAQI RAHEGA BY SABIR RAZA AZHARI
327 просмотров · 3 нед. назад
BAREILLY NETWORK
203 подписчика
327 просмотров · 3 нед. назад
subscribe to watch more new naats
Noor-e-mehr-o-maah na arz-o-gagan reh jaaega
parbat-o-sahra na bahr-o-anjuman reh jaaega
Na 'anaadil hi na husn-e-gul-badan reh jaaega
Koi gul baaqi rahega na chaman reh jaaega
Par rasoolullah ka deen-e-hasan reh jaaega
Mit gae daara, sikandar aur qaisar chal basa
Na koi baaqi rahega, na koi baaqi raha
Chand lamhe jee lo phir ho jaaoge tum bhi fana
Ham-safeero baag me.n hai koi dam ka chehchaha
Bulbule.n u.D jaaengi, soona chaman reh jaaega
Millat-e-baeza ki jaanib gar tera ruj.haa.n na ho
Ye to mumkin hi nahi.n ki phir tera nuqsaa.n na ho
Bul-hawas! duniya ke seem-o-zar pe yu.n shaadaa.n na ho
Atlas-o-kamKHwaab ki poshaak par naazaa.n na ho
Is tan-e-be-jaan par KHaaki kafan reh jaaega
Chashm-e-insaa.n par hai dhoka dahr ki raa'naaiyaa.n
Bil-yaqee.n zer-e-KHizaa.n aaega husn-e-gulsitaa.n
Naqsh kar lo taKHti-e-dil par, ae meer-e-kaarwaa.n
Naam-e-shaahaan-e-jahaa.n mit jaaenge lekin yahaa.n
Hashr tak naam-o-nishaan-e-panjtan reh jaaega
Qalb me.n aane na paae hasrat-e-naam-o-numood
Taa-dam-e-aaKHir rahe pesh-e-nazar rab ke hudood
Lau laga kar gumbad-e-KHazra se, ae 'abdul wadood
Jo pa. Dhega saahib-e-laulaak ke upar durood
Aag se mehfooz us ka tan-badan reh jaaega
Kuchh na kuchh reh jaaegi har shaKHs ke dil me.n lalak
Khatm ho jaaegi lekin husn-e-zulmat ki namak
Bulbul-e-Ayyub bhi chahkegi aaKHir kab talak
Sab fana ho jaaenge, Kaafı wa lekin hashr tak
Naa't-e-hazrat ka zubaano.n par suKHaan reh jaaega
#eidpoetry #love #live #bareillycantt #food #sufipoetry #alahazratkalambyowaisrazaqadri