Maida Suji Bhool Jaiye, Sirf 10 Min Me Banaye Naya Kurkura Nashta | Diwali Snacks
Cooking With Sanjukta
0:00 / 0:00
Maida Suji Bhool Jaiye, Sirf 10 Min Me Banaye Naya Kurkura Nashta | Diwali Snacks
153 просмотра · 5 дн. назад
Cooking With Sanjukta
534 подписчика
153 просмотра · 5 дн. назад
DiwaliSpecial #CrispyNashta #BesanNimki #KhastaPapdi #TeaTimeSnacks #DiwaliSnacks #CookingWithSanjukta #IndianSnacks #FestiveRecipe #CrispySnacks #QuickRecipe #EasySnacks
Diwali ka tyohar ho aur kuch kurkura aur mazedaar khane ko na ho, aisa kaise ho sakta hai! Aaj hum banayenge gehun ke aate aur besan se ekdum crispy aur khasta masaledar nimki (papdi), jise aap ek mahine tak aaram se store karke rakh sakte hain. Ise banana behad aasan hai aur yeh sirf 10-15 minute mein ban kar tayar ho jaati hai. Toh is Diwali is aasan aur tasty nashte ko zaroor try karein!
Ingredients (सामग्री)
Gehun ka Aata – 1 Cup
Besan (Gram Flour) – 1 Cup
Namak – Swad anusar
Haldi Powder – 1/2 chammach
Chilli Flakes – 1 chammach
Hing – 1 chinch
Safed Til (Sesame Seeds) – 1 chammach
Ajwain (Carom Seeds) – 1 chammach (hath se masalkar)
Kadi Patta (Curry Leaves) – Thode se (barik kate hue)
Tel (Oil) – 3 chammach (moyin ke liye) + talne ke liye
Paani – Aata gundhne ke liye
Process / Method (बनाने की विधि)
Aata Taiyar Karein: Sabse pehle ek bade bowl mein 1 cup gehun ka aata aur 1 cup besan lein. Isme swad anusar namak, haldi powder, chilli flakes, hing, safed til, haath se masalkar ajwain, aur fresh kadi patta daalein.
Moyin Lagayein: Ab isme 3 chammach tel daal kar hathon se acche se masal lein taaki sabhi cheezein aate mein mil jayein. Mutthi baandh kar dekhein, agar aate ki perfect mutthi ban rahi hai toh moyin ekdum sahi hai.
Dough Gundhein: Ab thoda-thoda paani daal kar ek sakht (tight) aata gundh kar tayar kar lijiye.
Belna aur Cut Karna: Aate ki ek loyi lekar uspar thoda sa sukha aata chhidak kar ek badi Roti ki tarah bel lein. Ab ek kante wale chamche (fork) se iske upar chhed kar dein taaki yeh tel mein phule nahi. Uske baad knife ya cutter se ise square shape mein cut karein aur beech se aur ek line khinch kar pyaare se triangle (tikon) shape mein badal lein.
Fry Karein: Ek kadhai mein tel garam karein (aanch medium honi chahiye). Ek-ek karke saare pieces tel mein daalein aur ulat-pulat kar golden aur crispy hone tak fry karein. Jab tel ke bubbles aana band ho jayein aur badhiya rang aa jaye, toh ise nikaal kar plate mein rakh lein.
Store Karein: Aapka super crispy aur tasty nashta bilkul tayar hai! Thanda hone ke baad ise air-tight container mein bhar kar 1 mahine tak store karein.