krun na yaad magar kistrah - Evergreen Asha Bhosle
chanto7
0:00 / 0:00
krun na yaad magar kistrah - Evergreen Asha Bhosle
89 просмотров · 6 мес. назад
chanto7
3,57 тыс. подписчиков
89 просмотров · 6 мес. назад
Singer- Asha Bhosle
Music Director: Ghulam Ali
Lyricist: Ahmad Faraz
Karoon na yaad magar kis tarah bhulaun use
g̣hazal bahaana karoon aur gungunaun use
vo ḳhaar ḳhaar hai shaḳh e gulab ki manind
main zaḳhm zaḳhm hoon phir bhi gale lagaun use
ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karun aur kahan se laun use
jo hum-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai Faraz
ajab nahin ke agar yaad bhi na aaun use