Aey Chand Karbala Ke (Salam by Syed Ali Zaidi)
Laan123
0:00 / 0:00
Aey Chand Karbala Ke (Salam by Syed Ali Zaidi)
2 692 просмотра · 2 месяца назад
Laan123
22,3 тыс. подписчиков
2 692 просмотра · 2 месяца назад
Recited at IEC Husaini Chicago, USA on 6/15/2026 Moharram 2026
Aye chand karbala ke, tu ne to dekhe hongay
utray thay is zameen par, arshay bari ke taare
ay chaand jalwagar hai hashim ka chaand ya par
khairaat roshni ki le li jiyo yahan se
ay chand....
ay chaand is zameen par rakhiyo hamesha thandak
sotay jo hai yahan par zehra ke hain ye pyare
ay chand....
tasneem-o-sal-sabeelo kausar ke hai ye maalik
maare gaye jo pyase is neher ke kanarey
ay chand....
Hur aur habeeb jaise jaabaaz aur ahibba
maare gaye yaheen par ansaar shahe dee ke
ay chand....
maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se
zainab ke dono pyare muslim ke dono bete
ay chand....
pamaal ho rahi thi qasim ki laash run may
abbas aur sarwar chuntey thay unke tukrhay
ay chand....
baazu katay yaheen par abbas-e-bawafa ke
izn-e-wigha(n) na paaya pani bhi laa na paaye
ay chand....
is sar zameen pa guzra sarwar pa ye bhi sadma
seene pa khaayi barchi ham shakl-e- mustufa ne
ay chand....
pani pilaane laaye ek meh laQa ko sarwar
ki ghazab hurmula ne teere sitam laga ke
ay chand....
gardan chidi pisar ki baazu chida padar ka
dono tadap tadap kar pyase jahan se guzre
ay chand....
is ban may ek bachi baba ko dhoondti thi
bikhre huwe parhay thay jab sar bureeda(n) laashay
ay chand....
phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachi
seeney pa so rahi thi besar padar se lipti
ay chand....
baazu bandhay yaheen per pehle-pahal haram ke
is sar zameen se niklay sajjad sar jhukaye
ay chand....
shehzada e jina hi maalik haikarbala ka
kiski majaal aaye jab tak na wo bulaaye
ay chand....
pahuncha hai karbala may nacheez sibte jafar
ay kaash ke muqaddar humko ye din dikhaye
ay chand....