Farida Khanum- Aaj Jane Ki Zid Na Karo[Private Mehfil 80s];New recording
saurav suman
0:00 / 0:00
Farida Khanum- Aaj Jane Ki Zid Na Karo[Private Mehfil 80s];New recording
1 132 просмотра · 5 мес. назад
saurav suman
21,5 тыс. подписчиков
1 132 просмотра · 5 мес. назад
aaj jaane ki zid na karo
yun hi pahlu mein baiThe raho
hae mar jaenge hum to luT jaenge
aisi baaten kiya na karo
tum hi socho zara kyun na roken tumhein
jaan jati hai jab uTh ke jate ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaan
baat itni meri man lo
waqt ki qaid mein zindagi hai magar
chand ghaDiyan yahi hain jo aazad hain
un ko kho kar abhi jaan-e-jaan
'umr bhar na taraste raho
kitna ma'sum-o-rangin hai ye saman
husn aur 'ishq ki aaj me'raj hai
kal ki kis ko KHabar jaan-e-jaan
rok lo aaj ki raat ko
gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon ke sae bhi madhosh hain
husn-e-ma'sum ko jaan-e-jaan
be-KHudi mein ruswa na karo
fayyaz Hasmi