MERE MAKHMALI SARKAR ALLAH HI ALLAH #makhmalipeer #newsufiyanakalaam
Md khalil shah Quadri al chisti Rabbani Peer A.A
0:00 / 0:00
MERE MAKHMALI SARKAR ALLAH HI ALLAH #makhmalipeer #newsufiyanakalaam
19 просмотров · 5 дней назад
Md khalil shah Quadri al chisti Rabbani Peer A.A
661 подписчик
19 просмотров · 5 дней назад
#makhmalipeer
#hamsabkesabhamare
#loveforallmalicefornone
#sufism
#sufiyanakalaam
#likesharesubscribe
Mere murshid ki shaan niraali hai
Unki har har ada kalme waali hai
Mere murshid ki shaan niraali hai
Unki har har ada kalme waali hai
Bigde ban jaayenge kaam
inkaa daaman tu bhi thaam
Bigde ban jaayenge kaam
inkaa daaman tu bhi thaam
Karte hain woh beda paar
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah...
Makhmali peer kaamil jo paaya hai
unkaa jalwa nazar me samaaya hai
Makhmali peer kaamil jo paaya hai
unkaa jalwa nazar me samaaya hai
jispar ho nazre karam
wahi paata hai didaar
jispar ho nazre karam
wahi paata hai didaar
Unki nazron mein hai pyaar
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah...
karke tasdeek kalma padhaayaa hai
makhmali peer ka sar pe saaya hai
karke tasdeek kalma padhaayaa hai
makhmali peer ka sar pe saaya hai
jisne nisbat hai paayi
hogi uski nayya paar
jisne nisbat hai paayi
hogi uski nayya paar
Milta hai dil ko qarar
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah...
Unke darbaar me jo bhi aaye hai
Mur-daa dil ko wo apne jilaaye hai
Unke darbaar me jo bhi aaye hai
Mur-daa dil ko wo apne jilaaye hai
har dam par unkaa ehsaan
makhmali peer pe hai qurbaan
har dam par unkaa ehsaan
makhmali peer pe hai qurbaan
Unki aalaa unchi shaan
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah...
Peer ki yaad dil mein صدا rakhna
jalwa e peer har shai nazar dekhnaa
Peer ki yaad dil mein صدا rakhna
jalwa e peer har shai nazar dekhnaa
chahe jalwe ho hazaar
kar tu bas didaare yaar
chahe jalwe ho hazaar
kar tu bas didaare yaar
Ye hai jeene ka iqraar
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah...
Makhmali peer ke wo dulaare hai
peer mehboob-e-subhaani pyaare Hai
Makhmali peer ke wo dulaare hai
peer mehboob-e-subhaani pyaare Hai
karte hai sab par karam
peer ke hai naksh-e-kadam
karte hai sab par karam
peer ke hai naksh-e-kadam
karlo unki tum pehchaan
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah...
Makhmali Peer hi meri manzil hai
Rabbani peer haq haq kahe dil se
Makhmali Peer hi meri manzil hai
Rabbani peer haq haq kahe dil se
Murshid kaa noori darbaar
Ishq-e-Peer Mera sansaar
Murshid kaa noori darbaar
Ishq-e-Peer Mera sansaar
Unpar hai ye jaanisaar
Allah hi Allah
Mere Makhmali Sarkaar
Allah hi Allah
khopoli ke taajdaar
Allah hi Allah.......