Soch Se Maavara | Muhammad Samie | Official Video
Muhammad Samie
0:00 / 0:00
Soch Se Maavara | Muhammad Samie | Official Video
38 180 просмотров · 23 ч назад
Muhammad Samie
501 тыс. подписчиков
38 180 просмотров · 23 ч назад
CREDITS:
Singer: Muhammad Samie
Poet: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
===========================
AUDIO CREW:
Director: Muhammad Samie & Jay Ali
Producer: Jay Ali
Harmonium: Muhammad Samie
Acoustic and Electric Guitar: Shahan Khan
Recording, Mixing & Mastering: Jay Ali
============
VIDEO CREW:
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie & Suleman Shah
Cinematographer: Suleman Shah
DOP: Suleman Shah
Assistant DOP: Usman Rajput
Gaffer: Zafar Iqbal
Art Work: Muhammad Samie
Wardrobe: Muhammad Samie
Lighting: Light & Grip Productions
Post-Production: Suleman Shah
Production House: Kul Andar Films
A Presentation by Short Sufi Films
============
LYRICS:
Soch se maavara ik haseen raat ho, ya teri deed ho ya teri yaad ho
Aankh kholoon to paaun tujhe chaar-su, aur khayalon mein bhi tu hi abaad ho
Is tarah guftagu du-ba-du ho meri, raaz mera ho tum mere ham-raaz ho
Muskuraun to aansu chalakne lagen, aansuon mein tabassum ka andaaz ho
Qalb mein soz ho tan mera saaz ho, har rag-e-jism-e-man saaz ka taar ho
Jab teri yaad aaye mere ham-nasheen, meri nas nas mein teri hi awaaz ho
Zulf-e-shab-gun se ushaaq ghaa'il hue
Teri abruu-e-pur-kham ke saa'il hue
Tujh ko chu ke hawayen mehekne lagen
Tu hanse to fizaayen chehekne lagen
Aftab-e-jahan tera ru-e-mubeen
Mah-e-tabaan hain rukhsaar ay dil-nasheen
Tu rukay to thahar jaye waqt-e-jahan, tu chale to chale ye nizaam-e-jahan
Be-hijabi se teri hai roshan jahan, jo ho parda-nasheen chandni raat ho
Tu jo khwabon khyalon mein aaye kabhi
Meri bechainiyon ko barhaye kabhi
Dil mein armaan phir se jagaye kabhi
Naam le ke mera tu bulaye kabhi
Samne la ke mujh ko bithaye kabhi
Al-atash ki sada dil se aaye kabhi
Phir nazar se mujhe tu pilaye kabhi
Tishnagi mere dil ki bujhaye kabhi
Ku-ba-ku al-atash ki sada chaa gayi, Maikasho maikashi ki ghadi aa gayi
Saqiya ho atta wo sharab-e-kohan, pi ke khud se meri ik mulaqaat ho
#muhammadsamie #urdupoetry #sufimusic