GHUNGROO MIL GAYE LEKIN YAMUNOTRI KA RAASTA BAND! | Char Dham Yatra 2026
Nakul Dhindoria
0:00 / 0:00
GHUNGROO MIL GAYE LEKIN YAMUNOTRI KA RAASTA BAND! | Char Dham Yatra 2026
130 просмотров · 2 нед. назад
Nakul Dhindoria
235 подписчиков
130 просмотров · 2 нед. назад
GHUNGROO MIL GAYE LEKIN YAMUNOTRI KA RAASTA BAND! | Char Dham Yatra 2026
Baba Neelkanth Mahadev ke darshan ke baad aakhirkaar woh gungroo bhi mil gaye jo mujhe pasand aaye the. ❤️
Mera ek rule sa hai…
Jo cheez ek baar pasand aa jaaye, usse main phir aasani se chhodta nahi.
Is baar bina zyada soche woh gungroo liye aur phir apni agli manzil Yamunotri ki taraf nikal pade.
Lekin safar aage badhta, usse pehle hi police ne humein rok diya.
Bataya gaya ki aage ka raasta band hai aur subah 4 baje khulega.
Ab hum beech raaste mein hi ruk gaye the…
Na safar aage badh sakta tha, na manzil tak pahunch sakte the. Bas raasta khulne ka intezaar tha.
Yamunotri ka safar abhi baaki tha…
Aur isi intezaar ke saath hamare din ka safar yahin khatam hua.
Kal dekhenge ki subah 4 baje raasta khulta hai ya nahi, aur Yamunotri ki taraf hamara safar kaise aage badhta hai. ❤️
🎥Nakul Dhindoria — A Life In Progress
Agar aap meri real-life journey, Char Dham Yatra 2026 aur Uttarakhand ke is safar ka hissa banna chahte ho, toh channel ko subscribe karke saath bane rehna.
#NakulDhindoria #Yamunotri #CharDhamYatra #YamunotriYatra #TravelVlog #Uttarakhand #ALifeInProgress