Перейти к содержимому

Abbas ka Lasha mai nahi laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri | New Noha | ASH Bhanauli Sadat

Azadari Bhanauli

0:00 / 0:00

Abbas ka Lasha mai nahi laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri | New Noha | ASH Bhanauli Sadat

39 412 просмотров · 5 лет назад
Azadari Bhanauli
81,9 тыс. подписчиков
39 412 просмотров · 5 лет назад
Nohay 2021 | Abbas Ka Lasha Main Nahi Laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay | New Noha 2021 8 Moharram 1443/2021 Related to- Hazrat Abal Fazlil Abbas a.s Recited by- Ali Mohammad Sultanpuri Poetry & Composition - Waiz Hasan Sultanpuri Location- Bara Imambargah, Bhanauli Sadat Posted by- Azadari Bhanauli Lyrics Abbas ka lasha mai nahi laya sakina Sakina haye sakina ... Bhai ki Judai ka liye dard jigar par Dariya se jab aayen h shahe deen palat kar Thi dar pa khadi sayyad e mazloom ki dukhtar Aye ahle aza dard me duba tha wo manzar Baba ki taraf dekh ke roti thi sakina Dikhla ke alam padhte the shabbir ye noha Abbas ka lasha mai nhi laya sakina Laya hun tarai se alam khoon me duba Abbas ka lasha mai nhi laya sakina Baba se meri ladli naraz na hona Abbas ka lasha mai nahi laya sakina 1. Jab khali alam leke mai dariya se chala tha Har ek qadam par mai yahi soch raha tha Phat jaye na masoom sakina ka kaleja Jab apni dulari se mai ye Jake kahunga Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 2. Chalta hai kaleje pe mere dard ka khanjar Mara gaya pyasa mera mazloom baradar Malta hua hathon ko mai aaya hun palat kar Ye dard mere dil se juda ho nhi sakta Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 3. Mujhse tere ammun ne kaha tha meri pyari Abbas ye aakhri khwahish thi dulari Le jana na khaime ki taraf lash hamari Puri huyi abbas e dilawar ki tamanna Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 4. Chota na karo dil meri nadan sakina Qismat ka likha hai ye meri jaan sakina Tujh par ye tera baap ho qurban sakina Ye baat meri ladli dil me nhi rakhna Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 5. Abbas ke lashe ko tassuwur me bna lo Ji bhar ke chacha jaan pe ashkon ko baha lo Ammu alam laya hun seene se laga lo Rah jaye na ye dil me qalaq aye meri dukhiya Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 6. Dil par jo mere zakhm laga kaise bataun Is waqt mera haal hai kya kaise btaun Sadma Jo mujhe aaj hua kaise btaun Ab dil mera har waqt isi gham se phatega Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 7. Masoom sakina ko kaleje se laga kar Roye hain bahut der talak sibte payambar Kahte the ki ab sabr karo aye meri dukhtar Maine wo kiya jo mere bhai ne kaha tha Abbas ka lasha mai nhi laya sakina 8. Waiz wo musibat ki badi sakht ghadi thi Masoom sakina dare khaima pe khadi thi Aur lash alamdar ki dariya pe padi thi Shabbir ke is bain se kohram tha barpa Abbas ka lasha mai nhi laya sakina Video Tags Laya hun tarai se alam khoon me dooba abbas ka lasha mai nahi laya sakina, waiz hasan sultanpuri, ali mohammad sultanpuri new nauha 2021, ali mohammad 2021 nauha, ali mohammad noha, new nauha bhanauli sadat, Azadari Bhanauli, nohay 2021, bhanauli nohay, anjuman sipahe hussaini bhanauli sadat, moharram 1443/2021, azadari 2021, haider raza, zuhair qain, abutalib rizvi, nadeem sultanpuri ►Social Media:- Subscribe :    / azadaribhanauli   Want to chat? Hit me up on social media! Instagram:   / iamrizvi   Facebook:   / bhanaulisadat