Перейти к содержимому

12 editors, ek hi galti — aur isiliye hire nahi hote

Editor Sonu

0:00 / 0:00

12 editors, ek hi galti — aur isiliye hire nahi hote

12 377 просмотров · 2 года назад
Editor Sonu
12,7 тыс. подписчиков
12 377 просмотров · 2 года назад
Discord par logon ne practice ke liye edits bheje the. Yeh un edits ka review hai — ek-ek karke, kya sahi hai aur kya nahi. Ghoom-phir ke wahi ek cheez nikal ke aati hai: element daal diya, par uski wajah nahi hai. Transition, glow, animation, asset — technique sab aa gayi hai, decision nahi aaya. Client ko technique nahi dikhti, decision dikhta hai. Beech mein ye bhi: red par red kyun nahi chalta, bright colour background mein kyun nahi rakhte, grid ke box chhote kyun rakhne hain, caption kitna neeche, glow kahan nahi lagana, aur chaar elements ek saath kyun nahi aane chahiye. Ek edit aisa bhi tha jiske liye maine kaha ki pricing theek ho to main khud hire kar lunga. Apni edit review karwani hai? Discord join kar lo, link neeche hai. Har hafte baith ke dekhte hain. Instagram: instagram.com/editorsonu_ #videoediting #editreview #premierepro #reelediting #editorsonu