SOCHA THA | KKRISHH
KKRISHH
0:00 / 0:00
SOCHA THA | KKRISHH
598 просмотров · 1 месяц назад
KKRISHH
389 подписчиков
598 просмотров · 1 месяц назад
Song: Socha Tha
Lyrics: KKRISHH
Composed by: KKRISHH
Music, Mixing & Mastering: CONTROLLA
Visual and Art: chrome
LYRICS-
[Verse 1]
Socha tha tu hai sambhal hi lega
Dil ka ye bojh utaar bhi dega
Main so jaun chain se uth na sakunga
Teri yaadon ki choton se bach na sakunga
[Chorus]
Main maut bhi maangun to dete nahi hai
Tu aayegi milne to kehti nahi hai
Main zinda bhi ho kar ke marta raha hoon
Main yaadon mein teri ek pal sa raha hoon
[Verse 2]
Main sapno se jaga to tu na dikhi thi
Main pagal ho jaaunga jo tu na milegi
Par jeena to hoga tere bina mujhko
Main khushi mein teri chhodunga tujhko
[Chorus]
Teri aankhen to mujhko pagal hai kehti
Main dil ka ghulam, tu aankhon mein rehti
Kabhi dekh mudkar, safar mein hi hoon main
Ye kaisa safar hai ki ghar mein hi hoon main
[Verse 3]
Main marna bhi chahoon to marne na denge
Main hasna bhi chahoon to hasne na denge
Main dukh mein bhi hoon to ye rone na dete
Main jeena bhi chahoon to jeene na denge
[Outro]
Mere haal pe chhod, main thak sa gaya hoon
Mujhko lagta main khud mein hi mar sa gaya hoon
Main pyaar na maangun, koi samjhe mujhe bas
Meri baatein sune, galat bole mujhe bas
Mujhko rasta dikhaye, zaroorat badi hai
Akela chal hi na paunga, mushkil badi hai
Meri aankhon mein mere sapne hain toote
Maine jinko bhi chaaha, wo apne hain roothe
Akele hoon ghar mein, koi saathi nahi hai
Main bhoolna chahoon, par jaati nahi hai
Main sir ka khud bojh badhata hoon, rehta
Teri yaadon mein main bas gaata hoon, rehta