Job Ke Sath Salana Lakhon Ka Fayda | Goat Farming Business Plan In Pakistan
H&M Dairy and Goat Farm
0:00 / 0:00
Job Ke Sath Salana Lakhon Ka Fayda | Goat Farming Business Plan In Pakistan
162 просмотра · 2 нед. назад
H&M Dairy and Goat Farm
92 подписчика
162 просмотра · 2 нед. назад
Assalam-o-Alaikum dosto! H&M Dairy & Goat Farm par aap sab dosto ko khush amdeed. Aaj ki is 7:30 minutes ki video mein humne aapke un tamam emails aur WhatsApp messages ka jawab diya hai jo aapne part-time goat farming ke baare mein pooche the. Is video mein humne mukammal guide share ki hai ke kaise aap apni naukri ya job ke sath Eid-ul-Adha ke liye bakre tayyar kar sakte hain aur salana lakhon ka munafe/fayda bana sakte hain.
Video mein humne bataya hai ke agar aap shehar (city) mein rehte hain, toh aapko koi bada structure banane ki zaroorat nahi hai, aap ghar ki chhat (rooftop) par hi saste mein setup shuru kar sakte hain. Shehar mein sasti feeding ke liye aap ghar ki bachi hui rotiyan, sabziyon ke chilkay aur thodi gandum gili kar ke de sakte hain. Jo bhai gaon (village) mein hain, unke liye sab se behtarean tareeqa bataya hai ke woh janwaron ki free charwahi (grazing) karwayein aur "Wanda Mafia" ke mehnge chemical wale wando se bachein.
Mera Faisalabad mein farm hai aur hamara maqsad apne Pakistani bhaiyon ko kam kharch mein behtareen aur munafe bakhsh business sikhana hai. Agar aap bhi kam investment mein goat farming seekhna chahte hain, toh abhi H&M Dairy & Goat Farm ko subscribe karein!
Topics Covered In This Video:
Job Ke Sath Salana Lakhon Ka Fayda
Goat Farming Business Plan in Pakistan
Kam kharch mein bakri palne ka tarika
Shehar mein chat par bakri farm setup
Wada mafia se bachne ka tarika aur desi khurak
Small scale goat farming tips for beginners
#GoatFarming #GoatFarmingBusinessPlan #HMDairyAndGoatFarm #FaisalabadFarm #AgriculturePakistan #EidUlAdhaBakre #SideBusinessIdeas #MunafeBakhshKarobar #FarmingLifePakistan