Apni Tasveer Ko Ankhon Se Lagata Kia Hai | Shahzad Ahmad | Sad Urdu Poetry
Kitab e Maazi
0:00 / 0:00
Apni Tasveer Ko Ankhon Se Lagata Kia Hai | Shahzad Ahmad | Sad Urdu Poetry
278 481 просмотр · 6 л. назад
Kitab e Maazi
397 тыс. подписчиков
278 481 просмотр · 6 л. назад
Shahzad Ahmad Poetry
Recital Ahsan Shakeel
Apni taswir ko aankhon se lagata kya hai
Ek nazar meri taraf bhi tera jata kya hai
Meri ruswai mein wo bhi hain barabar ke sharik
Mere qisse mere yaron ko sunata kya hai
Pas rah kar bhi na pahchan saka tu mujh ko
Dur se dekh ke ab hath hilata kya hai
Zehn ke pardon pe manzil ke hayule na bana
Ghaur se dekhta ja rah mein aata kya hai
Zakhm-e-dil jurm nahin tod bhi de mohr-e-sukut
Jo tujhe jaante hain un se chhupata kya hai
Safar-e-shauq mein kyun kanpte hain panw tere
Aankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai
Umr bhar apne gareban se ulajhne wale
Tu mujhe mere hi sae se daraata kya hai
Chandni dekh ke chehre ko chhupane wale
Dhup mein baith ke ab baal sukhata kya hai
Mar gae pyas ke mare to utha abr-e-karam
Bujh gai bazm to ab shama jalata kya hai
Main tera kuchh bhi nahin hun magar itna to bata
Dekh kar mujh ko tere zehn mein aata kya hai
Tera ehsas zara sa teri hasti payab
To samundar ki tarah shor machata kya hai
Tujh mein kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja
Chae ki pyali mein tufan uthata kya hai
Teri aawaz ka jadu na chalega un par
Jagne walon ko 'shahzad' jagata kya hai
Subscribe To Our Channel For More Videos
►► Facebook : / kitabemaazi
►► Instagram : / kitabemaazi
►► Twitter : / kitabemaazi
For Business inquiry or Fan Mail
Call or WhatsApp: +92 331 4872455
Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.
sad poetry, sad shayari, sad ghazal, Ahmad Faraz, Ahmad Faraz Poetry, Ahmad Faraz Whatsapp Status Poetry,Jaun Elia, Jaun Elia Sad Urdu Poetry, Tehzeeb Hafi Tehzeeb Hafi Mushaira Tehzeeb Hafi Rekhta, Ali Zaryoun, Ali Zaryoun Whatsapp Status
Sad Love WhatsApp Status, New Poetry 2019, Sad Poetry Collection,
Sad WhatsApp Status Love Sad Status Emotional WhatsApp Status Love Status Sad