Перейти к содержимому

Mere Shambhu... Bholenath | Shiv Parvati Bhajan | GB Studio

GB-Studio

0:00 / 0:00

Mere Shambhu... Bholenath | Shiv Parvati Bhajan | GB Studio

293 просмотра · 10 дн. назад
GB-Studio
60 подписчиков
293 просмотра · 10 дн. назад
Shambhu Mere Shambhu Bholenath - Ek Dil Ko Chhu Lene Wala Shiv Parvati Prem Bhajan | GB Studio Ye bhajan us pal ka hai jab Parvati Maa apne Shambhu ke liye zidd par ad gayi thi. Na mahal chahiye, na sona, bas Bholenath chahiye. Agar aap sachche Shiv Bhakt ho to ye bhajan aapke dil ko zarur chu jayega. Jai Shiv Shambhu! 🎧 LYRICS: Shambhu... Mere Shambhu... Bholenath... Tum puchat ho kaay zid kar rahi, kaay tap me khud ko jala rahi, Jisko tum avdhoot kahat ho, mai usko apna maan rahi. Na mahal chahiye, na sona chahiye, na jag ka koi shringaar, Jiske man me saara jag basta, wahi mera sansar. Sir pe Ganga to kya hua, wo jag ki pyaas bujhate hain, Gale me saanp bhale ho unke, nirbhay jeena sikhate hain. Tum kehte ho bhole hain wo, haan bhole hi to bhaate hain, Chhal-kapat ki is duniya me, sacche kahan mil paate hain? Shambhu... Shiv Shambhu... Mere Bholenath... Na khapra ho, na chhapra ho, Kailash hi ghar ho jayega, Jis aangan me Shankar honge, wahi mera man ram jayega. Bhasm lagayein, jata badhayein, mujhko usse kya lena, Jisne vish pi jag ko bachaya, uske sang hi hai jeena. Aadha chanda maathe par hai, aadha mai ban jaungi, Wo yadi Shiv hain is sansar ke, mai Shakti kehlayungi. Na dhan maangu, na maan maangu, na koi darbaar, Mujhko bas wo Shambhu chahiye, baaki sab bekaar. Bhole... Mere Bhole... Jise jag kehta Bholenath, wahi mere praano ke naath. Jai-Jai Shiv Shambhu! Har-Har Mahadev! --- Presented By: GB Studio Lyrics: Gourav Baloria Production: GB Studio 🙏 Agar aap sachche Shiv Bhakt ho to HAR HAR MAHADEV comment me likhna mat bhulna. 🔔 Naye Shiv Bhajan ke liye SUBSCRIBE karo - GB Studio #gbstudio #shambhu #bholenath #shivbhajan #mahadev #shivparvati #shivshakti #harharmahadev #shivratribhajan #newshivbhajan2026 #bholenathsong shambhu mere shambhu bhajan, bholenath bhajan gb studio, shiv parvati bhajan, mahadev new bhajan, har har mahadev song, shivratri bhajan