New Noha 2023 | Fatima Ka Ghar Ujad Gaya Kat Gaya Hussain Ka Gala | Anjuman Sipahe Hussaini Bhanauli
Raza Media
0:00 / 0:00
New Noha 2023 | Fatima Ka Ghar Ujad Gaya Kat Gaya Hussain Ka Gala | Anjuman Sipahe Hussaini Bhanauli
12 599 просмотров · 3 года назад
Raza Media
8,46 тыс. подписчиков
12 599 просмотров · 3 года назад
#nohay2023
#muharram1445
#nohay
Nohay 2023 | KAT GAYA HUSSAIN KA GALA | Abutalib Sultanpuri Nohay 2023 | 10 Muharram Noha 2023 | New Nohay 2023 | Muharram Nohay 2023 1445 Hijri
#nohay #nohay2023 #muharram1445 #muharramnohay #muharramnoha
Title - Noha Shahadat Imam Hussain 2023 | Noha 1445/2023
Related - 10 muharram noha 2023,
new noha shahadat mola hussain 2023,
new nohay 2023, noha new abutalibsultanpuri,
Anjuma Sipah E Hussaini Bhanauli Sadat)
Poet & Composition - Syed Nadeem Sultanpuri
Lyrics -
Fatima ka ghar ujad gaya, kat gaya Hussain ka gala
Rah gayi tadap ke mamta, kat gaya Hussain ka gala
1.
Bain kar rahi hain Fatima
Haye Tashna Lab pisar mera
Ran mein zibah kar diya gaya
Khoon rula rula ke bekhata
2.
Haye ek boond aab ki
Mil saki na waqt-e-akhiri
Tashna Lab ki pyaas na bujhi
Khushk halq khushk hi raha, kat gaya Hussain ka gala
3.
Qatl ho raha tha bewatan
Samne khadi thi ek bahen
Pit ti thi sar basad mehan
Kuch na kar saki wo gamzada
4.
Dil dahel gaya sahem gayi
Shah ki chaar sala laadli
Kha ke gash zameen par giri
Zalimon mein shor jab hua, kat gaya Hussain ka gala
5.
Laash Alqama pe sher ki
Us ghadi tadap ke rah gayi
Shimr ne chala ke jab chhuri
Muskura ke sabse ye kaha
6.
Shor hai khayam loot lo
Qaid kar lo ahle bait ko
Khul ke inpe har sitam karo
Inka ab koi nahi raha, kat gaya Hussain ka gala
7.
Dukhtare Hussain ro padi
Jab ye poochne laga shaki
Ab to tu yateem ho gayi
Kaun ab tujhe bachayega
8.
Aye Nadeem hashr hai bapa
Khaak uda rahe hain Mustafa
Aur tadap rahe hain Murtaza
Kampti hai arze nainwa.