Ayyam E Fatima Noha 2026 | Maa Fatima Zehra (Sada E Ghaib) | Subbaib Abidi | Noha Bibi Fatima Zahra
Subbaib Abidi
0:00 / 0:00
Ayyam E Fatima Noha 2026 | Maa Fatima Zehra (Sada E Ghaib) | Subbaib Abidi | Noha Bibi Fatima Zahra
2 081 просмотр · 10 часов назад
Subbaib Abidi
18,9 тыс. подписчиков
2 081 просмотр · 10 часов назад
Ayyam E Fatima Noha 2026 | Maa Fatima Zehra Sada E Ghaib | Subbaib Abidi | Noha Bibi Fatima Zahra
Subbaib Abidi Presents 3 jamadi ul sani shahadat bibi fatima noha / 13 jamadi ul awal.
Reciter & Compose | Syed Subbaib Abidi
Poetry | Zeshan Abidi
Audio | Lawa Studio
Video | TFP The Fame Production
Chorus | Own Rizvi, Minhal Rizvi, Taqi Abbas
YouTube Management | Syed Muhammad Rizvi
Noha Lyrics |
Sada Ghaybat Se Mehdiؑ Ki Yeh Ab Bhi Aati Hai
Sada ghaybat se Mehdiؑ ki yeh ab bhi aati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
Bichadta hai koi jab maa se main jata hoon milne
Main baitha rehta majlis mein beton ke sarhane
Main porsa unko deke
Gale milta hoon roke
Padhe jaate hain jab majlis mein meri maa ke nauhey
Azaadaron ke ghar jab maa koi marjaati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
Kisi mastoor ko Allah yeh din na dikhaye
Ho beta sath mein aur maa pe koi hath uthaye
Meri maa ki tarah se
Na rukh par hath rakhke
Koi maa apne hi bachon se ab chehra chhupaye
Tadapta hoon koi maa jab tamancha khaati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
Jo maa wale hain tum yeh baat un se jaake kehna
Zaeefi mein hamesha apni maa ke paas rehna
Zameen par gir ke haaye
Kahin woh mar na jaye
Bohot mushkil hai maa ki maut ka yeh dard sehna
Sahara leke bhi jab maa nahi uth paati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
Gira jalta hua dar bah gaya jab khoon sara
Mujhe us dar ke neeche se meri maa ne pukara
Nahi bhoola woh manzar
Meri jaanib se jaakar
Pareshaan ho koi maa to madad karna khudara
Koi maa roke mera naam jab dohrati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
La'een ne tod di sab pasliyan jab dar giraya
Magar amma ne yeh baba Aliؑ ko na bataya
Woh sab se chhup ke royeen
Na karwat leke soyeen
Na jaane zakhmi pehlu maa ne kis tarah chhupaya
Koi maa zakhm khaakar jab kabhi chillaati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
Baqeea mein nahi tha koi bas they saath baba
Wahan e kash main Hasnainؑ ke hamrah hota
Lahad mein khud utarta
Janaza maa ka rakhta
Kafan ko khool kar main meetha amma ka chehra
Koi aulad apni maa ko jab dafnati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
Sada aati hai yeh Mehdiؑ ki Zeeshan-o-Sabeeb
Laga tha taziyana maa ko mujhko yaad hai sab
Woh zakhmi hath maa ka
Na phir pehlu se utha
Hamesha sabki maon ko salamat rakhna Ya Rab
Bulaane ke liye jab hath maa phailati hai
Mujhe maa Fatima Zahraؑ bohot yaad aati hai
#AyyameFatima #SubbaibAbidi #Pakistan #MaaFatima #syedrazaabbaszaidi #BibiFatimaNoha #mirhasanmirnohay #nohay #ayyamefatmiyah #Noha #Yazehra #shahadatbibifatima #India
Is purdard nohay mein Bibi Fatima Zahra (SA), Syeda Zehra, Umm-e-Abiha aur Rasool Allah (SAWW) ki pyari beti ki mazloomiyat, shahadat aur judai ka gham bayan kiya gaya hai. Zawja-e-Moula Ali (AS) aur Imam Hasan (AS), Imam Hussain (AS) ki walida-e-mohtarma ki zindagi ke dardnaak waqiat, Bibi Fatima ka waqia, Bibi Fatima ke mojzay, Madina Munawwara ka sog, Ayyam-e-Fatmiyah ki yaadein aur Bagh-e-Fidak ka dilsoz waqia har azadar ke dil ko ghamgeen kar deta hai. 13 Jamadi ul Awwal aur 3 Jamadi us Sani ke hawale se Shahadat-e-Batool (SA) ki yaad mein pesh kiya gaya yeh noha, Bibi Fatima Zahra, Fatima Zehra, Fatima al-Zahra aur Sayyida Fatima tul Zahra ke naam se aqeedat rakhne walon ke liye ek purkhaloos nazrana-e-aqeedat hai. Dar-e-Zahra ke masayib, Khutba-e-Fadak, Rasool-e-Khuda (SAWW) ki wafat ke baad Ahl-e-Bayt par guzarnay wale halaat aur Maula Ali (AS) ke gham ki kaifiyat ko yaad karte hue yeh kalam azadaron, Shia noha sunne walon aur tamam mohabbatan-e-Ahlulbayt ke liye pesh kiya gaya hai. Ya Zahra, Ya Batool, Salamullah Alaiha.
SUBBAIB ABIDI NOHAY 2026 |
Maa Ko Marna Nahi Chahye | Ayyam e Fatmiyah Noha 2025
• Maa Ko Marna Nahi Chahye 💔| Ayyam e Fatmiy...
sakina utho meri jaan utho irfan haider
• Sakina Utho Meri Jan Utho
KEEP SUBSCRIPTION |
/ @subbaibabidi