Перейти к содержимому

New Noha 2024 | Armaan Tha Sehray Ka | Yusuf Ali Okera | Muharram Nohay 2024

Yusuf Ali Okera

0:00 / 0:00

New Noha 2024 | Armaan Tha Sehray Ka | Yusuf Ali Okera | Muharram Nohay 2024

1 357 просмотров · 2 года назад
Yusuf Ali Okera
4,61 тыс. подписчиков
1 357 просмотров · 2 года назад
786 - 92 - 110 ‎ اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا أَبَا عَبْدِ ٱللَّهِ وَعَلَىٰ ٱلأَرْوَاحِ ٱلَّتِي حَلَّتْ بِفِنَائِكَ New Noha Mola Ali Akbar AS 2024 | Armaan Tha Sehray Ka | Yusuf Ali Okera | Muharram 2024/1446 #muharram2024 #NewNoha​ #aliakber #Yusufokera​ Noha | Armaan Tha Sehray Ka Reciter | Yusuf Ali Okera Poet | Syeda Sakina Samar Zaidi Composed | Shahid Hussain Baltistani Chorus Sangat | Rizwan Mirza, Hasnain Mehdi, Shahrukh Abbas & Khurram Sunny Edit | JQ Productions Vocal Recording | AHL Studios UK Sound Engineering | Lawa Studio Karachi Special Cooperation | Abbas Haider Lalji Special Thanks | Al Mahdi Centre (Tz) & Hussein Sherali ▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️ NOHA LYRICS: Jis chaand se chehray pe armaan tha sehray ka Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha 1) Maa ban ke jissay paala zainab ne hijaabo mein Noshaah bana dekha maa ne jissay khwaabo mein Woh laal jo ghar bhar ki aankho ka ujaala tha Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha 2) Dil Akbar e mehroo ka seenay mei nahi baaqi Uljha huwa barchi mei dil bhi hain kaleja bhi Jis seeney mei dil maa ka behno(n) ka dharakta tha Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha Kaandha bhi koyi dene aaya na janaazey ko Bas baap tha betey ki mayyat ke uthanay ko Ghurbat mei jisse tanha sarwar ne uthaaya tha Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha Seeney ka lahoo roka zainab ne jo haatho(n) se Kehti thi koyi jaake abbas ko batlaade Maara gaya barchi se atthara baras waala Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha Din byaah ke aaye toh Akbar ko qazaa aayi Ab laut ke Sughra na aayega tera bhaayi Ghar laut ke aane ka jis ne tha kiya waada Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha Ab tak hain 'Samar' girya maqtal ki azaano mein Lagta hain kisi maa ki faryaad hain raaho(n) mein Ab tak yehi karti hain maqtal ki fizaa noha Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha ▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️▪️ Facebook    / yusuf.okera  ​ YouTube     / @yusufaliokera  ​ Instagram   / yusufalioke...​