Jangal Me Bhare Ghar Ko Luta Aai Hai Zainab | Furat Hussain wa Hamnawa 2026
Saeed Maulai
0:00 / 0:00
Jangal Me Bhare Ghar Ko Luta Aai Hai Zainab | Furat Hussain wa Hamnawa 2026
1 747 просмотров · 2 мес. назад
Saeed Maulai
29 тыс. подписчиков
1 747 просмотров · 2 мес. назад
Jangal Me Bhare Ghar Ko Luta Aai Hai Zainab | Furat Hussain wa Hamnawa 2026
Video Details!
Noha Khuwa - Furat Hussain
Poet - Allama Zameer Akhtar Naqvi
Composition / Originally recited by - Ali Zia Rizvi
Video Edit - saeedmaulai
-----------------------------------
#saeedmaulai #JungleMainBhareGharKo #JungleMainBhareGharKoLutaAyiHaiZainab #bibizainab #safarnoha
#newnoha2026 #nohay #nohay2026 #hazrataliakbar #muharram2026 #muharram1448 #muharram
==============================
Follow Our All Social Media Channels :-
Facebook: / saeedmaulai
Instagram : / saeedmaulai
==============================
● NOHA - L Y R I C S ●
Jungle main bharay ghar ko luta aye hai Zainab(sa)
Aey shair e Madina
Abid(as)ko kissi tarhan bacha laye hai Zainab(sa) \
Aey Shair e Madina
Bundwakay k rasan hathoon main aur khutbay suna kay
ghar bar luta k
dewar baray kufr ki dha aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
Jis shehr main shahzadioon ki tarhan rahe thi
nazoon sa pali thi
sir nungay ussi shehr main ho aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
Jo hijr pidar main rahe her waqt perashaan
sui nahi ik aan
is bachi ko zindan main sula aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
Dharas thi bauhat bhai ko jis bhai k dam say
dil phat ta hai ghum say
sahil pa akaila ussay chor aye hai Zainab
Aey Shair e Madina
Chey maa kay Asghar(as) ko bhi jhoolay k bajae
dukh dard chupaye
aaghosh main turbat kay sula aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
thay Aun o Muhammad(as) jo mere ankhoon k taray
mamoon k dularay
qurban unhain bhai pay ker aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
Tha Akbar nashad jo is ghar ka ujala
woh gaisoon wala
marqad main akala ussay chor aye hai Zainab(sA)
Aey Shair e Madina
kis waqt khuda janay qadam niklay thay ghar sa
chadar chini sir say
ab tak na masaib sa nikal aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
Reh jayay ga Akhtar ufaq e ghum pa tera naam
kya khoon inaam
noha tera sunnay k lia aye hai Zainab(sa)
Aey Shair e Madina
Allama Zameer Akhtar Naqvi -
______________________________
𝐖𝐚𝐭𝐜𝐡 𝐀𝐥𝐬𝐨 :-
All Nohas Of This Album 2026 / 1448