Перейти к содержимому

Payam e Ishq (پیامِ عشق) - Allama Iqbal Best Urdu Nazm | Qasim Yad

Kalam-e-Iqbal by Qasim Yad

0:00 / 0:00

Payam e Ishq (پیامِ عشق) - Allama Iqbal Best Urdu Nazm | Qasim Yad

6 531 просмотр · 5 мес. назад
Kalam-e-Iqbal by Qasim Yad
4,63 тыс. подписчиков
6 531 просмотр · 5 мес. назад
Kalam-e-Iqbal by Qasim Yad ki pehli peshkash: Hakeem-ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal ki azeem nazam "Payam-e-Ishq" (پیامِ عشق) ek naye aur roohani andaz mein. Yeh nazam ishq-e-haqeeqi, khudi, aur qaum ki bedari ka ek khoobsurat paigham hai. Suniye aur apne dilon ko Allama Iqbal ke falsafay se roshan karein. Video Pasand Aaye Toh Subscribe Zaroor Karein:    / @kalame-iqbal   Lyrics (Payam-e-Ishq): Sun ae talabgar-e-dard-e-pehlu! Main naaz hoon, tu niaz ho ja Main Ghaznavi Somnath-e-dil ka hoon, tu sarapa Ayaz ho ja سُن اے طلب گارِ دردِ پہلو! میں ناز ہُوں، تُو نیاز ہو جا میں غزنوی سومناتِ دل کا ہوں تُو سراپا ایاز ہو جا Nahin hai wabasta zer-e-gardoon kamal shan-e-Sikandari se Tamam saman hai tere seene mein, tu bhi aaina-saaz ho ja نہیں ہے وابستہ زیرِ گردُوں کمال شانِ سکندری سے تمام ساماں ہے تیرے سینے میں، تُو بھی آئینہ ساز ہو جا Gharaz hai paikar-e-zindagi se kamal paye hilal tera Jahan ka farz-e-qadeem hai tu, ada misal-e-namaz ho ja غرض ہے پیکار زندگی سے کمال پائے ہلال تیرا جہاں کا فرضِ قدیم ہے تُو، ادا مثالِ نماز ہو جا Na ho qana'at-shiar gulcheen! Issi se qaim hai shaan teri Wafoor-e-gul hai agar chaman mein toh aur daman-daraaz ho ja نہ ہو قناعت شعار گُلچیں! اسی سے قائم ہے شان تیری وفورِ گُل ہے اگر چمن میں تو اور دامن دراز ہو جا Gaye woh ayyam, ab zamana nahin hai sahra-nawardiyon ka Jahan mein manind-e-shama-e-sozaan miyan-e-mahfil gudaaz ho ja گئے وہ ایّام، اب زمانہ نہیں ہے صحرانوَردیوں کا جہاں میں مانندِ شمعِ سوزاں میانِ محفل گداز ہو جا Wujood afrad ka majazi hai, hasti-e-qaum hai haqeeqi Fida ho millat pe yaani aatish-zan-e-tilism-e-majaz ho ja وُجود افراد کا مجازی ہے، ہستیِ قوم ہے حقیقی فِدا ہو مِلّت پہ یعنی آتش زنِ طلسمِ مجاز ہو جا Yeh Hind ke firqa-saaz Iqbal Aazari kar rahay hain goya Bacha ke daman buton se apna ghubar-e-raah-e-Hijaz ho ja یہ ہند کے فرقہ ساز اقبالؔ آزری کر رہے ہیں گویا بچا کے دامن بُتوں سے اپنا غُبارِ راہِ حجاز ہو جا Poetry: Allama Muhammad Iqbal Creative Direction & Melody Creation: Sir Idrees Azad Presented by: Kalam-e-Iqbal by Qasim Yad Disclaimer: This lyrical video is created for educational and cultural purposes to spread the timeless message of Allama Iqbal. #PayameIshq #AllamaIqbal #KalameIqbal #urdunazm #UrduPoetry #QasimYad