Перейти к содержимому

Cyberabad Mein MLC Mirza Rahmat Baig Ko Deepfake Video Se Blackmail Karne Wale 6 Log Giraftar

Munsif News 24x7

0:00 / 0:00

Cyberabad Mein MLC Mirza Rahmat Baig Ko Deepfake Video Se Blackmail Karne Wale 6 Log Giraftar

3 294 просмотра · 14 ч назад
Munsif News 24x7
137 тыс. подписчиков
3 294 просмотра · 14 ч назад
#Munsif #MunsifNews #MunsifNews24x7 #MunsifDaily #MunsifHyderabad #MunsifIndia #TelanganaNews #hyderabadnewschannel Cyberabad mein MLC Mirza Rahmat Baig ko Deepfake Videos aur morphed pictures ke zariye blackmail karne ki koshish ka bada maamla saamne aaya hai. Cyberabad Police ne is case mein 6 aaropiyon ko giraftar kar liya hai, jabki mazeed 8 logon ki talaash jaari hai. Police ke mutabiq, aaropiyon ne MLC ki fake aur objectionable videos tayyar karke social media par viral karne ki dhamki di aur ₹5 crore ki extortion demand ki. Is maamle mein pehle hi ₹5 lakh wasool kiye ja chuke the. 5 November ko Ibrahim Bagh mein cash lene pahunche aaropiyon ko Narsingi Police ne pakad liya. Police ne aaropiyon ke paas se ₹4.70 lakh cash, 2 autos, 6 mobile phones aur 1 laptop zabt kiya hai. Is saazish mein kul 14 logon ke shamil hone ka shak hai. Deepfake videos banane aur social media par phailane wale accounts ki bhi jaanch ki ja rahi hai. #CyberabadPolice #MirzaRahmatBaig #DeepfakeVideo #Blackmail #ExtortionCase #HyderabadNews #TelanganaNews #CrimeNews #Arrest #MunsifNews