Перейти к содержимому

Baba Ka Sar Mila | Agha Talib Hasan | Shahadat e bibi Sakina Sa - New Noha 2026

Ajareresalat - Aza и Ajareresalat.com

0:00 / 0:00

Baba Ka Sar Mila | Agha Talib Hasan | Shahadat e bibi Sakina Sa - New Noha 2026

1 300 просмотров · 1 месяц назад
Ajareresalat - Aza и Ajareresalat.com
1 300 просмотров · 1 месяц назад
Subcribe To Our Channel    / @ajareresalataza   Baba Ka Sar Mila | Agha Talib Hasan | Shahadat e bibi Sakina Sa - New Noha 2026 ◉ Roman Lyrics Haye Baba Baba Baba Zindan mein jab Sakina ko Baba ka sar mila Hathon mein us ko thaam ke Bachi ne yeh kaha Baba yeh khoon kis ka hai Chehre pe jo laga Yeh hont kaise kat gaye Baba mujhe bata Chehre pe jo nishan Tumhare hain Baba jaan Kya Shimr ne hi maare Tamache hain Baba jaan Dekho to aankhen khol ke Ik baar Baba jaan Mujh par guzar gaye jo Sitam woh karun bayan Main thi bahaar-e-gulistan Ab ho gayi khizaan Saansen meri atakti hain Jeena hua giraan Baba tumhare baad Sukoon ko taras gayi Is kamsini mein zulm ki Barish baras gayi Zalim ne mujh ko maare Tamache hain har jagah Jab pani main ne maanga Tamacha mujhe laga Gar thak ke main ruki to Tamacha laga diya Roti bilakti main thi Tamacha nahin ruka Rukhsar choomte the Jo din raat Baba jaan Woh kat gaye hain itni Thi aafat Baba jaan Baba watan ki mujh ko Bahut yaad aati hai Har roz mujh ko lagta hai Sughra bulati hai Zindan ki ghutan mujhe Baba satati hai Zindan mein bach na paungi Umeed jati hai Baba main chaar saal Mein hi aisi ho gayi Jaise ke ho zaeefa Kai maah o saal ki Rudad yeh Sakina Sunati thi Baba ko Gaalon ke apne zakhm Dikhati thi Baba ko Jitne sitam hue woh Batati thi Baba ko Rudad apni keh ke Rulati thi Baba ko Yak dam woh bolte Hue khamosh ho gayi Munh apna rakh ke Baba ke Munh par woh so gayi Baba ke sar se beti ko Uth kar juda kiya Sajjad ne yeh ro ke Kaha wa museebata Zainab ka wa Husaina ka Girya tha goonjta Taale ghamon ki maari ne Zindan mein ki qaza Rizwan qaid khane Mein bachi guzar gayi Chhoti si qabr Shaam ke Zindan mein bani #noha #13safar #bibisakina #shahadat #noha2026 #karbala #bibi #sakina #zindanesham Kalam Title : Baba Ka Sar Mila Reciter : Agha Talib Hasan Poet : Syed Rizwan Rizvi Compose : Agha Talib Hasan Audio Rec : Tee Zee Studio Mix Mastering : Tirmah Zaidi Video : Riz Records Label : Ajareresalat.com ◉Timestampes 00:04 - Start of the Noha (Hayee Baba) 00:20 - Zindan mein jab Sakina ko Baba ka sar mila 00:36 - "Baba ye khoon kiska hai chehre pe jo laga" 01:03 - "Kya Shimr ne hi maare tamache hain Baba jaan" 01:15 - "Dekho to aankhein khol ke ek baar Baba jaan" 02:13 - "Zalim ne mujhko maare tamache har jagah" 03:12 - "Baba watan ki mujhko bahut yaad aati hai" 03:48 - "Baba mein chaar saal mein hi aisi ho gayi" 04:48 - "Ekdum woh bolti hue khamosh ho gayi" 05:20 - Imam Sajjad (as) and Bibi Zainab (sa) lamenting the loss 05:53 - "Qaid khane mein bacchi guzar gayi ◉ Follow Ajareresalat Network TikTok : tiktok.com/@ajareresalat.aza Facebook :   / ajareresalat14   Twitter :   / ajareresalat   Soundcloud :   / ajareresalat110   Instagram :   / ajareresalat.aza   WhatsApp : https://whatsapp.com/channel/0029VaDU... Website : https://www.Ajareresalat.com