Ayyam E Fatima Noha 2026 | Ab Woh Zehra S.A Nahi Rahi Baba | Adeel Raza | Bibi Fatima Noha 2026
Adeel Raza Official
0:00 / 0:00
Ayyam E Fatima Noha 2026 | Ab Woh Zehra S.A Nahi Rahi Baba | Adeel Raza | Bibi Fatima Noha 2026
2 943 просмотра · 1 дн. назад
Adeel Raza Official
4,65 тыс. подписчиков
2 943 просмотра · 1 дн. назад
Ayyam E Fatima Noha 2026 | Ab Woh Zehra S.A Nahi Rahi Baba | Adeel Raza | Bibi Fatima Noha 2026
#bibifatima #AdeelRaza #NewNoha2026 #ayamefatimia #AllamaHassanKazmi #TZFilms #bibifatimanoha #
© 2026 Adeel Raza Official. All Rights Reserved.
Reciter: Zakir e Mola Abbas Adeel Raza
Poet: Allama Hassan Kazmi
Composition: Own Rizvi
Audio: Lawa Studio (Meesum Zaidi)
Video Shoot: SRS Production (Mahmood Ali Achoali)
Video Edit: TZ Films (Turab Zaidi)
Chorus: Own Rizvi & Team
Thumbnail Designer: Shuja GFX
--------------------------------
Ab woh Zehra nahi rahi Baba
Tum jis ke liye uthte thay
Baba apni masnad se
Darbar mein us ko khara rakha
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Aap jis dar pe aye mere Baba, roz aakar salam karte thay
Aag laga la ke ab jala dala, usi dar ko tumhari ummat ne
Woh dar phir mujh pe giraya
Mohsin ko mere maara,
Aur us pe sitam rone na diya.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Baba jab mujh ko maara zalim ne, Murtaza ke galay mein rassi thi
Main sunati rahi Ali ko jo, sabr ki aap ne wasiyat ki
Warna woh tegh uthate
Mat poochiye Baba kaise,
Haider ko main ne rok liya.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Aap ke kalma goyon ne Baba, Fatima par bhi haath uthaya hai
Ik laeen ne Hasan ke samne hi, mere munh par tamacha maara hai
Baba dekho ghaur se dekho
Baba mere chehre ko,
Rukhsar hai ab tak neela mera.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Mujh pe jis dam gira tha darwaza, aur upar se log guzre thay
Kitna zakhmi hai pehlu mera par, main ne kuch bhi kaha na Haider se
Ae Baba, Ain-ul-Allah se woh
Jo zakhm chhupaye main ne,
Bas jaanti hai woh sab Fizza.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Jis ki tazeem aap karte thay, uth ke apni jagah bithate thay
Sar-e-darbar mein main roti thi, aur ashaab saare baithe rahe
Darbar bulaya mujh ko
Hans hans ke rulaya mujh ko
Aur Zehra ko jhoota bhi kaha.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Itne sadme uthaye hain main ne, ho gaye baal bhi safed mere
Kham kamar mein hai haath mein Rasha, daagh hain dil pe qatl-e-Mohsin ke
Turbat se uth kar dekho
Baba apni beti ko
Kya jee ke karegi ab Zehra.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Log aa kar Ali se kehte hain, chain kyun Fatima ko aata nahi
Aap hi kahiye kya batayein woh, pasliyan Fatima ki toot gayin
Ab mujh ko bula lo Baba
Dushwar hai mera jeena
Mushkil hai saans bhi ab lena.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
Ae Hasan Kazmi yaqeen hai mujhe, jab bhi Maula mere karenge zuhoor
Hogi Kaabe mein majlis-e-Zehra, aur hum bhi Adeel honge zaroor
Khoon rone lagenge Mahdi
Majlis mein qayamat hogi
Jis waqt sunenge yeh noha.
Baba Baba ab woh Zehra nahi rahi Baba...
--------------------------------
📱 CONNECT WITH US:
➽ Subscribe ➽ [@adeelrazanohay ] 🔔 Stay updated!
Facebook: [ / 1ez9npf2km ]
Instagram: [ / itsadeelraz. .]
⚠️ COPYRIGHT INFORMATION:
• This video and audio are protected under international Digital Millennium Copyright Act (DMCA).
• All Rights of this Nauha (Sound Recording & Composition rights), artwork, logo, audio & video are reserved by Adeel Raza Official
• Re-uploading or using our audio/video on any other channel without permission will result in a Copyright Strike
#HussainRaziHai #AdeelRaza #NewNoha2026 #muharram #AdeelRazaNohay