Wah Kya Martaba Aye Ghaus-Manqabat Ghaus e Aazam By Sayyed Kaifi Ali Razavi Sahab
RANG E RAZA BANARAS OFFICIAL
0:00 / 0:00
Wah Kya Martaba Aye Ghaus-Manqabat Ghaus e Aazam By Sayyed Kaifi Ali Razavi Sahab
8 980 просмотров · 2 года назад
RANG E RAZA BANARAS OFFICIAL
102 тыс. подписчиков
8 980 просмотров · 2 года назад
#sayyedkaifialiqadrirazvi #rangerazabanaras #rangerazabanarasofficial
held On 21 Oct 2023 At Madanpura Banaras
🎶 Sound Record & Edit By:- Taufeeq Raza
Mobile No:- 7860205556 / 9389419098
◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇◇
For latest updates At Official Networks
Subscribe Our Youtube Channel :
/ rangerazabanarasofficial
Official Facebook Page :
/ rang_e_raza_banaras_official-
Official Instagram Account :
/ rang_e_raza_banaras_official
Official Mixlr Account :
http://mixlr.com/rang-e-raza-banaras
Join Our whatsapp Group :
https://chat.whatsapp.com/EYnphtyjDvt...
Must Listen Subscribe Like Share & Comments
*_RANG E RAZA OFFICIAL BANARAS _
_________________________________________
Wah kya martaba aay Ghaus hay baala tera
Oonche oonchon key saron sey qadam aa'laa tera
Sar bhalaa kya koi jaane key hay kaisa tera
Auliya malte hain aankhein woh hay talwaa tera
Kya dabe jis pey himaayat ka ho panjah tera
Sher ko khatre me laata nahin kuttaa tera
Tu Husaini Hasani kyun nah muhiyuddin ho
Aay khizar majma' e bahrain hay chashma tera
Qasmein dey dey key khilaata hay pilaata hay tujhe
Pyaara Allah tera chaahne waala tera
Mustafa key tane bey saaye ka saaya dekha
Jis ney dekha meri jaan jalwaa e zaybaa tera
Ibn e Zahraa ko mubaarak ho 'aroos e qudrat
Qaadiri paayein tasadduq mere dulhaa tera
Kyun nah qaasim ho key tu ibn e abil qaasim hay
Kyun nah qaadir ho key mukhtaar hay baaba tera
Nabavi meenh 'alawi fasl batooli gulshan
Hasani phool Husaini hay meheknaa tera
Nabavi zil alawi burj batooli manzil
Hasani chaand Husaini hay ujaalaa tera
Nabavi khur 'alawi kooh batooli ma'din
Hasani la'l Husaini hay tajallaa tera
Behr o bar sheher o quraa sehel o hazan dasht o chaman
Kaun sey chak pe pohonchtaa nahin da'waa tera
Husn e niyyat ho khataa phir kabhi karta hi nahin
Aazmaayaa hay yagaana hay dogaana tera
'Arz e ahwaal ki pyaason me kahaan taab magar
Aankhein aay abr e karam takti hain rastaa tera
Maut nazdeek gunaahon ki tahein mail key khowl
Aa baras jaa key nahaa dho le ye pyaasa tera
Aab aamad woh kahe aur mein tayammum bar khaast
Musht khaak apni ho aur noor ka ahlaa tera
Jaan to jaate hi jaayegi qayaamat ye hay
Ke yahaan marne pe thehra hay nazaarah tera
Tujh sey dar dar sey sag aur sag sey hay mujh ko nisbat
Meri gardan me bhi hay door ka doraa tera
Is nishaani key jo sag hain nahi maare jaate
Hashr tak mere gale mein rahe patta tera
Meri qismat ki qasam khaayein sagaan e Baghdad
Hind me bhi hoon to deta rahoon pehra tera
Teri izzat key nisaar aay mere ghairat waale
Aah sad aah key yoon khwaar ho barda tera
Bad sahi chor sahi mujrim o naakaarah sahi
Aay woh kaisa hi sahi hay to kareema tera
Mujh ko ruswaa bhi agar koi kahegaa to yoon hi
Ke wohi naa wo Raza banda e ruswa tera
Aay Raza yoon na bilak tu nahin jayyid to na ho
Sayyad e jayyid e har dehr hay mawla tera
Fakhr e Aaqa mein Raza aur bhi ik nazm e rafee'
Chal likha laayein thanaa khwaanon mein chehraa tera
Majmooa e Naat
http://app.mn.ziaemadinah.com/