Перейти к содержимому

Biwi Europe, Aadhi Tankhwa Mere Ghar Bhejo!, Cleaning job Inkaar | Europe Mein Biwi Ki Pehli Job

Ibrar jutt

0:00 / 0:00

Biwi Europe, Aadhi Tankhwa Mere Ghar Bhejo!, Cleaning job Inkaar | Europe Mein Biwi Ki Pehli Job

28 497 просмотров · 4 дня назад
Ibrar jutt
3,43 тыс. подписчиков
28 497 просмотров · 4 дня назад
Bohat mehnat aur intezar ke baad main apni biwi ko Europe le kar aaya. Mujhe laga tha ke ab hum dono mil kar ek achi zindagi shuru karenge, lekin Europe pohanchte hi biwi ne ek aisi baat keh di jis ki mujhe bilkul umeed nahi thi. Usne kaha: “Ek mahine ki tankhwa apne ghar bhejo aur agle mahine ki tankhwa mere ghar.” Maine kaha ke aisa mumkin nahi. Main apne ghar walon ki zimmedari uthata hoon, lekin tumhare ghar walon ko bhi zarurat par 3-4 mahine baad kuch madad bhej sakta hoon. Meri baat sun kar woh naraz ho gayi aur boli: “Phir mujhe kaam par lagwa do, main khud kama kar apne ghar paise bhejungi.” Maine kaha theek hai, lekin Europe mein kaam utna asaan nahi hota jitna door se nazar aata hai. Main uske liye job dhoondne laga. Ek din hum ek Arabic restaurant mein khana khane gaye. Maine wahan manager se biwi ke liye kaam poocha. Usne foran kaha ke job hai aur aaj se hi shuru kar sakti hai. Kaam tha raat 10 baje se subah 5 baje tak kitchen mein baith kar salad kaatna. Biwi khush ho gayi aur boli: “Yeh kaunsa mushkil kaam hai? Ghar mein bhi to sabzi kaat-ti hoon.” Lekin pehli hi raat ke baad jab woh subah ghar aayi to itni thaki hui thi ke seedha ja kar so gayi. Main khud nashta bana kar kaam par chala gaya. Dopahar tak wapas aaya to woh abhi bhi so rahi thi. Maine khana banaya aur usko khilaya. Usne kaha: “Bas shuru ke kuch din hain, aadat ho jayegi.” Lekin 7-8 din baad boli: “Main salad kaat kaat kar bore ho gayi hoon. Mujhe koi aisa kaam dilwao jahan chalna phirna ho aur kaam din mein ho.” Maine dobara boss se baat ki. Usne kaha ke din mein customers ko plates dene aur wapas lane ka kaam kar sakti hai. Biwi ko laga ke yeh to bohat asaan hai. Lekin kuch hi din baad uske pair dard karne lage aur sooj gaye. Ab usne yeh job bhi chhor di. Phir maine cleaning ka kaam dhoonda. Maine bataya ke logon ke gharon mein safai karni hogi aur kabhi bathroom aur toilet bhi saaf karne padenge. Yeh sunte hi jawab aya: “Main toilet saaf nahi karungi!” Maine kaha: “Phir batao kaunsa kaam karna hai?” Aakhir mein usne kaha: “Mujhse kaam nahi hota. Aap 2-3 mahine baad mere ghar thore paise bhej diya karein, mujhe koi masla nahi.” Europe aane se pehle har kaam asaan lagta tha, lekin jab khud kaam karne ki baari aayi to kahani hi badal gayi! 😄 Poori kahani video mein dekhein aur comment mein zaroor batayein: Kya shohar ko har mahine biwi ke ghar bhi paise bhejne chahiye thay, ya biwi ka khud kaam karne ka faisla sahi tha?