Allah Ne Mal Aur Aulad Ko Fitnah Kyun Kaha? |Mal Aur Aulad Fitnah (Azmaish) Kab Bante Hain?
Qazi Syed Abdur Raheem Official
0:00 / 0:00
Allah Ne Mal Aur Aulad Ko Fitnah Kyun Kaha? |Mal Aur Aulad Fitnah (Azmaish) Kab Bante Hain?
152 просмотра · 1 месяц назад
Qazi Syed Abdur Raheem Official
1,94 тыс. подписчиков
152 просмотра · 1 месяц назад
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
اس جمعہ کے بیان میں سورۂ منافقون کی آخری آیات کی روشنی میں "مال اور اولاد فتنہ کیوں ہیں؟" اس اہم موضوع پر گفتگو کی گئی۔
اللہ تعالیٰ نے فرمایا:
"تمہارا مال اور تمہاری اولاد تمہیں اللہ کی یاد سے غافل نہ کر دیں۔"
اور دوسری جگہ فرمایا:
"تمہارا مال اور تمہاری اولاد آزمائش ہیں۔"
اس بیان میں واضح کیا گیا کہ یہاں فتنہ سے مراد آزمائش ہے۔
اگر مال زکوٰۃ، صدقہ، حج اور دین کی خدمت میں خرچ ہو تو یہی مال دنیا و آخرت کی کامیابی کا ذریعہ بن جاتا ہے۔
اگر اولاد کو دین، نماز، قرآن اور اچھے اخلاق کی تعلیم دی جائے تو یہی اولاد والدین کے لیے دنیا و آخرت کی کامیابی کا سبب بنتی ہے۔
اسی سلسلے میں مسجد نبوی کے مشہور ستونِ حنانہ اور ستونِ توبہ کا تعارف پیش کیا گیا۔
حضرت ابو لبابہؓ کے واقعہ کو تفصیل سے بیان کیا گیا کہ ایک معمولی لغزش پر انہیں اس قدر ندامت ہوئی کہ انہوں نے اپنے آپ کو مسجد نبوی کے ستون سے باندھ لیا، یہاں تک کہ اللہ تعالیٰ نے ان کی توبہ قبول فرمائی۔
آخر میں یہ نصیحت کی گئی کہ صحابۂ کرامؓ کی زندگیوں سے ہمیں توبہ، خوفِ خدا اور محاسبۂ نفس کا سبق لینا چاہیے۔
ان شاء اللہ اگلے جمعہ اسی موضوع کو مزید آگے بڑھایا جائے گا۔
అస్సలాము అలైకుం వ రహ్మతుల్లాహి వ బరకాతుహు
ఈ జుమా బయాన్లో సూరహ్ అల్ మునాఫికూన్ చివరి ఆయాత్ ఆధారంగా ధనం మరియు సంతానం ఎందుకు ఒక పరీక్ష (ఫిత్నా)? అనే ముఖ్యమైన విషయాన్ని వివరించారు.
అల్లాహ్ ఇచ్చిన ధనం మరియు పిల్లలు సరైన మార్గంలో ఉపయోగిస్తే ఈ లోకం మరియు పరలోక విజయానికి కారణమవుతాయి.
కాని అవి అల్లాహ్ స్మరణ నుండి దూరం చేస్తే అవే మన నాశనానికి కారణమవుతాయి.
ఈ బయాన్లో మస్జిద్-ఎ-నబవీ లోని ప్రసిద్ధ ఉస్తువానా హన్నానా మరియు ఉస్తువానా తౌబా గురించి కూడా వివరించారు.
హజ్రత్ అబూ లుబాబా (రజి.) తౌబా చేసిన హృదయాన్ని కదిలించే సంఘటనను వివరించారు.
ఈ బయాన్ ప్రతి ముస్లింకు తన జీవితాన్ని పరిశీలించుకోవడానికి ఒక గొప్ప సందేశం.Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh
Is Jumu'ah Bayan mein Surah Al-Munafiqun ki aakhri ayaat ki roshni mein ek nihayat aham mawzu par guftagu ki gayi.
Allah Ta'ala irshad farmate hain ke:
"La tulhikum amwalukum wa la awladukum an zikrillah."
Aur doosri jagah farmaya:
"Innama amwalukum wa awladukum fitnah."
Yahan "Fitnah" se murad kya hai?
Kya maal aur aulaad buri cheezen hain?
Ya Allah Ta'ala kisi aur haqeeqat ki taraf ishara farma rahe hain?
Is bayan mein tafseer ki roshni mein wazeh kiya gaya ke yahan Fitnah ka matlab Azmaish hai.
Agar maal Allah ki ita'at mein kharch ho... Zakat ada ki jaye... Hajj kiya jaye... Sadqah diya jaye... Aur Allah ki raah mein istemal ho...
To yehi maal duniya aur aakhirat ki kamyabi ka zariya ban jata hai.
Isi tarah agar aulaad ko Deen sikhaya jaye... Namaz ki pabandi karayi jaye... Akhlaq aur Sunnat ki tarbiyat di jaye...
To yehi aulaad Sadqa-e-Jariyah aur Nijaat ka sabab ban jati hai.
Lekin agar maal aur aulaad Allah ki yaad se ghafil kar dein to wahi ne'mat insaan ki halakat ka sabab ban jati hai.
Bayan ke dauran Masjid-e-Nabawi ke mashhoor Ustuwanah Hannanah aur Ustuwanah Taubah ka bhi tazkirah kiya gaya.
Hazrat Abu Lubabah (RA) ka dil hila dene wala waqia bayan kiya gaya jahan ek mamooli lagne wali ghalti par unhon ne itni sakht nadamat ka izhar kiya ke apne aap ko Masjid Nabawi ke sutoon se baandh liya aur Allah Ta'ala se taubah ki.
Aaj hum kitne gunah karte hain... Lekin dil mein nadamat tak paida nahin hoti.
Ye waqia har Musalman ke liye apna muhasebah karne ka paigham hai.
In Sha Allah agle Jumu'ah isi silsile ko mazeed tafseel ke saath jari rakha jayega.
#SurahMunafiqun #MalAurAulad #Fitnah #Azmaish #AbuLubabah #UstuwanahTaubah #UstuwanahHannanah #MasjidENabawi #QuranTafseer #IslamicBayan #JumuahBayan #MuftiSyedAbdurRaheemQasmi #Vijayawada #ImaratESharia #Autonagar #IslamicReminder #Tawbah #Quran #Hadith #Deen