Перейти к содержимому

Ghazal: Zraa Si Aur Laa Saaqi: Pandit Vithal Rao Ji: Dr. Inderjit Nirdosh.

Kalaam-e-Nirdosh: SAVN - Ghazal Aur Bhajan Ka

0:00 / 0:00

Ghazal: Zraa Si Aur Laa Saaqi: Pandit Vithal Rao Ji: Dr. Inderjit Nirdosh.

13 094 просмотра · 4 г. назад
Kalaam-e-Nirdosh: SAVN - Ghazal Aur Bhajan Ka
323 подписчика
13 094 просмотра · 4 г. назад
Ghazal Introduction: Khalid Iqbal; Keyboard: Yaseen Khan. Please SUBSCRIBE to the Channel and LIKE & SHARE the Video. Kindly activate Captions/Subtitles and for full lyrics please click SHOW MORE below. Ghazal Zraa Si Aur Laa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Na Tu Daaman Bachaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Aadaab-e-MaiKshi Mein Aib Hai Ke Hosh Baaqi Hon Mujhe Behad Pilaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Sunaa Hai Laakh MaiKhaane Basay Hain Teri Aankhon Mein Ke Nazrein To Milaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Tulooy-e-Subha Se Pehlay Tulooy-e-Subha Honay De Zraa Chilman Htaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Meri Tishna-Labi Tishna-Nigaahi Par Nazar Kar Ke Zraa Meena Uthaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Tumharay Khand-e-Zer-e-Lab Ke Mayal Hain Farishtay Bhi Zraa Sa Muskura Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Bahut Naakamiyaan, Be-Inthaa Gham Maine Paaye Hain Idhar Zehraab Laa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai Sukoot-e-Anjuman Nirdosh Meri Jaan Le Le Ga Zraa To Gunguna Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai