ऐसे बनाओ पंजाबी पकौड़ा कढ़ी कभी नहीं फटेगी और स्वाद एकदम लाजवाब 😋
MonikaYummyKitchen
0:00 / 0:00
ऐसे बनाओ पंजाबी पकौड़ा कढ़ी कभी नहीं फटेगी और स्वाद एकदम लाजवाब 😋
11 просмотров · 3 дн. назад
MonikaYummyKitchen
41 подписчик
11 просмотров · 3 дн. назад
Punjabi Pakora Kadhi ka asli swad ab ghar par! 😍 Aaj main bataungi kadhi fatne se kaise bachaye aur pakore soft kaise banaye jo ghulenge nahi. Ye meri Dadi Maa wali recipe hai!
Agar aapki kadhi hamesha fati-fati banti hai ya pakore hard ho jate hain, toh ye video end tak dekho. 100% guarantee - perfect kadhi banegi!
✨ INGREDIENTS / SAMAGRI:
Kadhi ke liye:
Dahi - 800 gm (khatti)
Besan - 1/2 cup
Dhaniya Powder. -1/2 tbsp
Jeera Powder -1/3 tbsp
Paani - if required
Tadka 1 ke liye:
Sarson tel - 2 tbsp
Rai 1 tbsp
Jeera - 1 tsp
Sabut Dhaniya -1 tbsp
Lehsun 4-5 cloves
Hari Mirch 3
Kadi patta - 10-12
Haldi 1 tbsp
Namak -Swad Anusar
Kasuri Methi -3tbsp / Hara Dhaniya
Pakora ke liye:
Besan - 1 cup
Pyaaz - 1 barik kata
Hari mirch 4-5
Hara dhaniya/Kasuri Methi
Ajwain - 1/2 tsp
Haldi - 1/3 tbsp
Lal Mirchi Powder - 1/3 tbsp
Namak -Swad Anusar
Garam Masala -1/3 tbsp
Baking soda - 1 chutki (soft ke liye)
Paani - zrurt ke hisab se
Final Tadka:
Ghee/ Tel - 2 tbsp
Hing -1/2 tbsp
Sukhi Lal Mirchi -2
Lal mirch powder - 1 tsp
Kadi patta-5-6
🔥 PRO TIPS (Video me bataye hain):
Dahi aur besan ko hamesha thande paani me gholiye
Kadhi me ubal aane tak lagatar chalana zaroori hai
Kadhi ko kabhi dhak kar mat pakayiye
Pakoron me thoda baking soda = super soft
#kadhi #pakorakadi #punjabikadhi #kadhichawal #kadhipakora #indianrecipes #punjabifood #northindianfood #homemadecurry #besankadhi
Like,Share and Subscribe zrur kre👍