kab yaad mein tera sath nahin
ashuandruchi
0:00 / 0:00
kab yaad mein tera sath nahin
783 519 просмотров · 17 лет назад
ashuandruchi
3,55 тыс. подписчиков
783 519 просмотров · 17 лет назад
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
sud shukar k apni raaton mein, ub hijr ki koi raat nahi

mushkil hein agar halaat wahaan, dil baich aan'ain jaan de'aain
dil walo kocha-e-jaannaan, kia aisay bhi halat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
jiss dhajh say koi maqtal mein gaya wo shaan salamat rehti hai
yeah jaan to aani janii hai, is jaan ki to koi baat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
medaan-e-wafa darbaar nahi, yaan naam-o-nasab ki pooch kahan
aashiq to kisi ka naam nahi, kuch ishq kisi ki zaat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
yeah baazi ishq ki baazi hai, jo chahay laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kia kehna, haaray bhi to baazi maat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
mushkil hein agar halaat wahaan, dil baich aan'ain jaan de'aain
dil walo koocha-e-jannaan, kia aisay bhi halaat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
sud shukar k apni raaton mein, ub hijr ki koi raat nahi
kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
Hijr = Separation
Dhaj = appearance, shape, form
maqtal = place of execution
maat = defeat