Перейти к содержимому

दुकान में पैसा कहाँ फँस जाता है? 🤔 | दुकानदार का अनुभव

Kumarbk

0:00 / 0:00

दुकान में पैसा कहाँ फँस जाता है? 🤔 | दुकानदार का अनुभव

2 121 просмотр · 1 месяц назад
Kumarbk
9,54 тыс. подписчиков
2 121 просмотр · 1 месяц назад
दुकान में पैसा कहाँ फँस जाता है? 🤔 | असली दुकानदार का अनुभव Dukaan mein paisa kahan phans jata hai? 🤔 Aaj ki is Real Garment Shop Vlog mein maine apne personal experience ke basis par bataya hai ki kapdon ki dukaan ke liye galat shopping karne se paisa kaise maal mein phans sakta hai. Dukaan ke liye kabhi bhi andha-dhundh ya kuch bhi dekhkar maal nahi kharidna chahiye. Hamesha apne area ke customer, unki pasand aur unke budget ko samajhkar hi maal kharidna chahiye. Jo maal customer ko pasand aaye aur jo unki pocket ke hisaab se ho, wahi dukaan mein zyada chalne ke chances hote hain. Is video mein maine ye bhi bataya hai ki customer ko zyada se zyada options dikhana kitna zaroori hai. Kabhi bhi pehle se ye mat socho ki customer ko koi particular T-shirt ya design pasand nahi aayega. Kya pata customer kuch aur lene aaya ho aur use koi doosri cheez pasand aa jaye. Saath hi, apne stock ko time-time par check karna bhi bahut zaroori hai, taki hume pata rahe ki dukaan mein kaunsa maal kahan rakha hua hai. Aur jo maal phans raha hai, use samay par nikalne ki koshish karni chahiye, taki paisa zyada samay tak stock mein phansa na rahe. Ye sab meri apni dukandari ke personal experience se judi baatein hain. Agar aap bhi kapdon ki dukaan chalate hain, business karte hain ya future mein apni shop kholna chahte hain, to ye video aapke liye kaafi useful ho sakti hai. Video ko poora zaroor dekhna aur apni rai comment mein batana! ❤️ #ShopVlog #GarmentShop #BusinessTips #Dukandari #RealShopVlog #ClothingBusiness #GarmentBusiness #ShopBusiness #SmallBusiness #Menswear kapde ki dukaan mein paisa kahan phans jata hai dukaan mein paisa kahan phans jata hai kapde ki dukaan mein maal kyon phans jata hai galat maal kharidne par kya hota hai kapde ki dukaan ke liye maal kaise kharide kapde ki dukaan ke liye maal kahan se kharide dukaan ke liye sahi maal kaise chune kapde ki dukaan mein galat kharidari dukaan mein phanse hue maal ka kya kare kapdon ki dukaan ka stock kaise manage kare dukaan ka maal jaldi kaise beche kapdon ki dukaan chalane ka anubhav dukandaar ki asli zindagi