Перейти к содержимому

Suji Jeera Donuts | आज तो बनते-बनते ही सब खत्म हो गया | 😀

Cooking With Sanjukta

0:00 / 0:00

Suji Jeera Donuts | आज तो बनते-बनते ही सब खत्म हो गया | 😀

580 просмотров · 4 недели назад
Cooking With Sanjukta
516 подписчиков
580 просмотров · 4 недели назад
#Sujirings #Sujirecipe #CrispySnack #TiffinRecipe #EveningSnack #BreakfastRecipe #EasyRecipe #KidsTiffin #IndianSnacks #SujiSnack #NashtaRecipe #CookingWithSanjukta Aaj banaiye sirf Suji se bahut hi crispy, tasty aur unique Suji Rings 😋❤️ Ye recipe bachchon ke tiffin, breakfast ya evening snack ke liye ekdum perfect hai. Banane mein bahut easy hai aur ghar ki simple ingredients se hi ye yummy nashta tayyar ho jata hai. Aap bhi is recipe ko ek baar zaroor try kijiye aur apni family ko khilaiye. 🥰 Video pasand aaye to Like, Share aur Channel ko Subscribe zaroor kijiye. ❤️ INGREDIENTS Suji - 1/2 cup Pani - 1 cup Jeera - 1/2 tsp Dhaniya patta - 1-2 tbsp Namak - swad anusar Oil - 1 tbsp Oil - frying ke liye RECIPE Sabse pehle kadhai mein 1 cup pani lenge. Ismein jeera, dhaniya patta, namak aur 1 tbsp oil daal kar achhe se mix kar lenge. Ab ismein 1/2 cup suji daalenge aur lagatar mix karte hue paka lenge. Jab suji saara pani soak kar le aur dough jaisi ban jaaye, tab gas band kar denge. Ab suji ko ek plate mein nikaal kar thoda faila denge aur halka thanda hone denge. Thandi hone ke baad ise haathon se achhe se gundhkar smooth dough bana lenge. Ab dough ka ek chhota tukda lenge, use haathon se gol karenge, halka press karenge aur ungli ki madad se beech mein hole bana denge. Isi tarah saare suji rings bana lenge. Ab kadhai mein oil garam karenge aur saare suji rings ek-ek karke oil mein daal denge. Thodi der baad halka mix karte hue golden brown aur crispy hone tak fry karenge. Crispy hone ke baad suji rings ko oil se nikaal lenge. Hamare crispy aur tasty Suji Rings bilkul ready hain. 😋❤️