Перейти к содержимому

Engineering Ke Baad Maine 1 Saal Waste Kar Diya… Aap Ye Galti Mat Karna! 😔 | Real Experience

NextGen Automation

0:00 / 0:00

Engineering Ke Baad Maine 1 Saal Waste Kar Diya… Aap Ye Galti Mat Karna! 😔 | Real Experience

669 просмотров · 1 мес. назад
NextGen Automation
790 подписчиков
669 просмотров · 1 мес. назад
Engineering ke baad mujhe khud nahi pata tha ki aage kya karna hai… aur isi confusion mein maine apna 1 saal waste kar diya. Maine socha tha — “Baad mein kuch kar lenge.” Lekin woh “baad mein” kab 1 saal ban gaya, pata hi nahi chala. Is video mein main apna real experience share kar raha hoon — engineering ke baad kya hua, gap kyun liya, us gap mein kya galti ki, apprenticeship kaise ki aur mujhe us experience se kya seekhne ko mila. Agar aap: Engineering ke final year mein ho Fresher ho Engineering complete kar chuke ho Job/skill ko lekar confused ho Gap lene ka soch rahe ho to ye video aapke liye useful ho sakti hai. Ek baat yaad rakhna: 👉 Gap lena problem nahi hai, lekin gap ka purpose hona chahiye. Agar gap le rahe ho to us time mein skills, projects, internship, apprenticeship ya job preparation par kaam karo. Agar meri story se aapko ek bhi lesson milta hai, to video ko Like 👍 kar dena aur NextGen Automation ko Subscribe kar lena. ❤️ Learn • Practice • Grow ⚡ #Engineering #EngineeringCareer #FresherJobs #CareerAdvice #ElectricalEngineering #IndustrialAutomation #EngineeringStudents #JobSearch #CareerGrowth #NextGenAutomation