Перейти к содержимому

Anisha Ke Saath Game Khelne Ka Plan Tha… Sab Ulta Ho Gaya! 😂

Ravi Satyawali

0:00 / 0:00

Anisha Ke Saath Game Khelne Ka Plan Tha… Sab Ulta Ho Gaya! 😂

169 просмотров · 2 недели назад
Ravi Satyawali
117 подписчиков
169 просмотров · 2 недели назад
Aaj ka vlog thoda hectic raha! 😅 Subah late uthne ki wajah se vlog banane ka time hi nahi mila aur phir jaldi-jaldi office ke liye nikalna pada. Office mein kaam karne ke baad jab ghar wapas aaya, tab jaakar vlog start kiya. Aaj Anisha ka office mein second day tha aur uske boss ne uske welcome ki khushi mein lunch treat di ❤️ Isliye Anisha already full kha kar ghar aayi thi aur apna lunch bhi saath le aayi. 😄 Shaam ko usne mujhe bola ki dinner ke liye kuch nahi hai, jo din mein bacha hai wahi khayenge… lekin baad mein pata chala ki ye toh jhooth tha! 😂 Anisha ne secretly tasty vegetable cheela banaya tha, aur phir humne saath mein dinner kiya. ❤️ Mera plan tha ki aaj Anisha ke saath ek game khelunga aur dono saath mein quality time spend karenge 🎮❤️ Lekin Hiyansh aaj sone ka naam hi nahi le raha tha, jiski wajah se hamara game plan completely kharab ho gaya. 😂 Wo kaafi late soya aur jaise hi wo soya, mujhe office ke kaam ke liye dobara nikalna pada. Phir raat ko 2:30 baje tak office ka kaam kiya aur uske baad ghar wapas aaya. 🥱 Aur isi ke saath aaj ka vlog end hota hai! Agar aapko vlog pasand aaye toh Like 👍, Comment 💬, Share ❤️ aur Channel ko Subscribe 🔔 zaroor karein. Thank you so much for watching! ❤️ #RaviSatyawali #DailyVlog #DubaiVlog #FamilyVlog #Anisha #Hiyansh #CoupleVlog #IndianVlogger #DubaiLife #DailyVlogs #VlogLife