KHWAB DEKHTA HU (STUDIO VERSION) | KIRDAAR | LEGACY
Kalamkaar и ещё 2
0:00 / 0:00
KHWAB DEKHTA HU (STUDIO VERSION) | KIRDAAR | LEGACY
764 976 просмотров · 1 месяц назад
Kalamkaar и ещё 2
764 976 просмотров · 1 месяц назад
Track: Khwab Dekhta Hu
Artist: Kirdaar
Credits:
Track name: Khwab Dekhta Hu (Studio Version)
Written by: Mohd Anas
Performed by: Kirdaar
Produced by: Kanch
Music Composers: Unmesh Dinesh Walwatkar, Rahul Shahani
Arranger: Shah Rule
Mix Engineer: Shah Rule
Mastering Engineer: Keyur Raut
LYRICS:
Verse 1
Ha main khwaab dekhta hoon
Aukaat se unchi kehte udaan dekhta hoon
Andar shor mere par main unke kaan dekhta hoon
Nazrein jaati jhuk maa ko jab niraash dekhta hoon
Manzil door sapno ki ghar ka bhaar kheenchta hoon
9 se 9 main uska naukar, 9 ke baad devta hoon
10vi fail pariksha mein har raat baithta hoon
Kyu karu sharam ye batane mein main khwaab dekhta hoon
Jo mere baap ko zinda kha gai wo sharaab dekhta hoon
Uski aulaad ko phir dar dar ka mohtaaj dekhta hoon
Dafan kar diya, mudkar na kabristan dekhta hoon
Hai ye ghar ghar ki kahani, ghar ke bahar baithta hoon
Rappers mein rapper kam, zyada abhimaan dekhta hoon
Nasho mein desh ka yuva hota barbaad dekhta hoon
Dikhti maut jab naaron mein zindabaad dekhta hoon
Phir sapne dikhte nahi jab ghar ka hisaab dekhta hoon
Phir lagta dafan kar doon khwaab saare
Sabar ka khitaab na hai
Baras padti boond behtar zindagi ki kaamna hai
Aasmaan pe nazarein, zameen chhodna aasaan kaha hai
Khoon se hai pair lat-pat, baazuon mein jaan
Rukna chahta nahi main, dost rukna mardon ki pehchaan kaha hai
Bikte hain imaan, bas bata do ke inaam kya hai
Mere kapde kapde mere sapno ki pehchaan na hai
Gali se nikla ladka, aaj sheher poora jaanta hai
Chorus
Door…
Shayad ye aawaaz pohoch jaayein
Ya aap samajh paayein
Kabhi yoon
Usko mere kaash nazar aayein
Ye khwaab sawar jaayein
Kahi Door…
Shayad ye aawaaz pohoch jaayein
Ya aap samajh paayein
Kabhi yoon
Usko mere kaash nazar aayein
Ye khwaab sawar jaayein
Verse 2
Assalamualaikum
Aur bhai kya haal chaal hai
Pehchana nahi toh bata doon, kirdaar mera naam
Haan main wahi hoon jo kaandhe par guitar leke phirta
Haan main wahi jisko bola sapne dekha kar aukaat mein
Ladka Aata nahi hai haath kyuki sapne bade hain
Bhale Nike nahi hai paas, chaar chashme pade hain
Meri kala ka sahi daam chahiye, nakhre bade hain
Scene ne kitne rappers khaye, kitne datt ke khade hain
Kitne sabar bandhe baithe, kitne ragadte chale hain
Kitne chamak se hain door, kitne chamakne chale
Kitne nashon mein barbaad, kitne adab de chale hain
Kitne bojh tale dabe, kitne barasne chale hain
Jitne log hain kamaye maine, ek ek se pyaar
Ladka samjhauta nahi karta, ladka bheed jaane taiyyar
Jaha hood hai mera jaata, bawe aata jhanda gaad ke
Main Jamnapaar ka ladka nahi hu, mujhme Jamnapaar hai
Har din dil aur dimaag ke beech tanaav dekhta hoon
Maut nahi dikhti, har din maut ke parinaam dekhta hoon
Waqt ki izzat, izzat waqt ke na saath dekhta hoon
Mann nahi dekhta, main seedha mann ke paar dekhta hoon
Soch mein dooboon, doobi soch ke na saath baithta hoon
Samjhana chahta nahi, koi aise samajhdaar dekhta hoon
Mujhmein mein kami hogi agar main aage haar dekhta hoon
Jo poore kar nahi paaya, phir kya sapne khaak dekhta hoon
Outro
Ha main khwaab dekhta hoon
Aukaat se unchi kehte udaan dekhta hoon
Andar shor mere par main unke kaan dekhta hoon
Nazrein jaati jhuk maa ko jab niraash dekhta hoon
Manzil door sapno ki main ghar ka bhaar kheenchta hoon
9 se 9 uska naukar, 9 ke baad devta hoon
10vi fail pariksha mein har raat baithta hoon
Kyu karu sharam ye batane mein main khwaab dekhta hoon
New episodes. Every week.
If you're part of the culture, you're one of us.
Like. Comment. Share. Subscribe.
Let's build LEGACY.
Link: / thelegacy_india
#Legacy #DesiHipHop #DHH #IndianHipHop #HipHop #Rap #RAFTAAR #KRSNA #ForTheCulture #Kalamkaar #kalamkaarmusic