Jhatpat Kaleji Masala Recipe | Kaleji Banane Ka Sab Se Aasan Tareeqa,🤤🤤📷 YouTube video 📷📷 2026..
Easy cooking......👌👌
0:00 / 0:00
Jhatpat Kaleji Masala Recipe | Kaleji Banane Ka Sab Se Aasan Tareeqa,🤤🤤📷 YouTube video 📷📷 2026..
20 просмотров · 4 дня назад
Easy cooking......👌👌
5 подписчиков
20 просмотров · 4 дня назад
Sirf Chand Minton Mai Tayyar, Juicy Aur Chatpati Kaleji Karahi! 🌶️
Aaj mai aap ke liye lekar aayi hoon kaleji karahi banane ka sab se aasan aur jhatpat tareeqa. Na dahi ka jhanjhat, na pyaz kaatne ki zaroorat! Kam se kam masalon ke sath yeh kaleji itni narm aur lazeez banti hai ke sab ungliyan chaat te reh jayenge.
Video ko poora dekhein aur ghar par yeh mazedar recipe zaroor try karein!
📝 Darkaar Ajza (Ingredients):
Kaleji: Aadha kilo (Achi tarah dhuli hui)
Adrak Lehsen: 2 chach (Kuta hua ya paste)
Tamatar: 3 se 4 adad (Bareek kate hue)
Oil: Hasb-e-zaroorat
Dry Masalay: Lal mirch powder, haldi, kasuri methi, zeera, sukha dhaniya powder, aur namak (Hasb-e-zaiqa).
Fresh Masalay: Hari mirchein aur taza hara dhaniya.
👩🍳 Tayyar Karne Ka Tareeqa (Step-by-Step Recipe):
Shuruat: Sab se pehle karahi mai oil dalein aur is mai adrak lehsen shamil kar ke halka brown (sunheri) hone tak fry karein.
Tamatar Ki Bhunai: Jab adrak lehsen brown ho jaye, to is mai tamatar dalein. Tamatar ko thori der achi tarah pakne dein jab tak un ki kachi mehak khatam na ho jaye aur achi khushbu aane lage.
Masalay Aur Kaleji: Ab is mai lal mirch, haldi, methi, zeera, sukha dhaniya, namak aur sath hi hari mirchein dal dein. Is ke sath hi kaleji bhi karahi mai shamil kar dein.
Dum Par Pakayein: Kaleji apna pani choregi, is liye ab karahi par dhakkan de dein aur isay pakne dein taake kaleji apne hi pani mai achi tarah gal jaye.
Aakhri Bhunai: Jab pani bilkul sukh jaye, to chamche se kaleji ko thora sa bhun lein takay oil alag ho jaye.
Garlishing: Aakhir mai taza hara dhaniya upar se dalein aur aap ki mazedar kaleji tayyar hai!