Aakhir Kese Lag Gyi Avani Ko Chot😭 Or Kyu Hui Thi Bhai Se Fight 🤜
MISS HALDWANI (AVANI)
0:00 / 0:00
Aakhir Kese Lag Gyi Avani Ko Chot😭 Or Kyu Hui Thi Bhai Se Fight 🤜
84 просмотра · 12 дн. назад
MISS HALDWANI (AVANI)
212 подписчиков
84 просмотра · 12 дн. назад
Subah se shaam tak Avni ke saath kya kya hua, is vlog me dekhiye 👇
Aaj subah Avni jaldi uth gayi thi. 2 din se uski tabiyat thodi kharab hai, usko khansi jukam ho raha hai. Subah ki shuruaat bhaiya ke saath khelte hue hui.
Din me Avni khel to rahi thi par beech-beech me khansi bhi aa rahi thi. Fir maine Avni ke saath thoda time spend kiya, usko godi me liya aur usse dher saari baatein ki aur saath me video bhi shoot kiya.
Dopahar me Avni chhat par khelne chali gayi, fir main usko neeche le aayi. Neeche apni puzzle ke saath khel rahi thi.
Shaam ko bahar se car aayi to car dekh ke Avni bhi bahar bhaag gayi aur wahi par gir gayi, usko chot lag gayi. Bahut zyada roi wo, badi mushkil se chup karaya.
Raat ko sone se pehle dono bhai-behan ki ladai ho gayi. Jaise hi main Avni ko sula rahi thi, Hridyansh aa gaya aur bola main mummy ke paas sounga. Avni dada ko touch bhi nahi karne deti, usko lagta hai mummy sirf meri hai 😅 Isi baat par dono ki ladai ho gayi.
Video ko end tak zaroor dekhna, bahut cute moments hai ❤️
Agar video pasand aaye to LIKE, SHARE aur SUBSCRIBE karna mat bhoolna 🙏
Avni jaldi thik ho jaye uske liye dua karna 🥺
#avnivlogs #avnikitabiyat #bhaibehenkiladai #dailyvlog #cutebabygirl #avni #familyvlog #chotlaggyi