kis se maa.nge.n kahaa.n jaa.e.n kis se kahe.n aur duniyaa me.n haajat-ravaa kaun hai
Aastanaye Warsiya
0:00 / 0:00
kis se maa.nge.n kahaa.n jaa.e.n kis se kahe.n aur duniyaa me.n haajat-ravaa kaun hai
65 просмотров · 1 день назад
Aastanaye Warsiya
79,3 тыс. подписчиков
65 просмотров · 1 день назад
kis se maa.nge.n kahaa.n jaa.e.n kis se kahe.n
aur duniyaa me.n haajat-ravaa kaun hai
sab kaa daataa hai tuu sab ko detaa hai tuu
tere bando.n kaa tere sivaa kaun hai
kaun maqbuul hai kaun marduud hai
be-KHabar kyaa KHabar tujh ko kyaa kaun hai
jab tule.nge ’amal sab ke miizaan par
tab khulegaa ki khoTaa kharaa kaun hai
kaun suntaa hai faryaad mazluum kii
kis ke haatho.n me.n kunjii hai maqsuum kii
rizq par kis ke palte hai.n shaah-o-gadaa masnad-aaraa-e-bazm-e-'ataa kaun hai
auliyaa tere mohtaaj ai rabb-e-kul
tere bande hai.n sab ambiyaa-o-rusul
un kii 'izzat kaa baa.is hai nisbat tirii
un kii pahchaan tere sivaa kaun hai
meraa maalik mirii sun rahaa hai fuGaa.n
jaantaa hai vo KHaamoshiyo.n kii zabaa.n
ab mirii raah me.n ko.ii haa.il na ho
naama-bar kyaa balaa hai sabaa kaun hai
ibtidaa bhii vahii intihaa bhii vahii
naa-KHudaa bhii vahii hai KHudaa bhii vahii
jo hai saare jahaano.n me.n jalva-numaa
us ahad ke sivaa duusraa kaun hai
vo haqaayaq ho.n ashiyaa ke yaa KHushk-o-tar
fahm-o-idraak kii zad me.n hai.n sab magar
maa-sivaa ek us zaat-e-be-ra.ng ke
fahm-o-idraak se maa-varaa kaun hai
ambiyaa auliyaa ahl-e-bait-e-nabii taaba.iin-o-sahaaba pe jab aa banii
gir ke sajde me.n sab ne yahii arz kii
tuu nahii.n hai to mushkil-kushaa kaun hai
ahle-e-fikr-o-nazar jaante hai.n tujhe
kuchh na hone pe bhii maante hai.n tujhe
ai 'nasiir' us ko tuu fazl-e-baarii samajh
varna terii taraf dekhtaa kaun hai