Перейти к содержимому

Noha 2023 | Zainab ye Boli Rokar Bachon Muaf Karna | Zuhair Abbas Sultanpuri

Azadari Bhanauli

0:00 / 0:00

Noha 2023 | Zainab ye Boli Rokar Bachon Muaf Karna | Zuhair Abbas Sultanpuri

9 399 просмотров · 3 года назад
Azadari Bhanauli
81,8 тыс. подписчиков
9 399 просмотров · 3 года назад
4 Moharram 2023 | Noha 2023 | Bachchon Muaf Karna 2023 | Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat 2023/1445 | Noha Aon-o-Mohammad 2023 Bachon Muaf Karna | बच्चों मुआफ करना | بچوں معاف کرنا Poet- Nadeem Abbas (Nephew of Syed Waiz Hasan Sultanpuri) Recited by- Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat Sangat- Zuhair Abbas Sultanpuri, Abutalib Sultanpuri, Anzar Husain, Nadeem Abbas, Mohammadx2 Lyrics:- Azadaron aaj ek ghamzada maa ko unke bachon ka pursa pesh karna hai jisne kabhi apne bachon pe giriya na kiya. Magar ye shahzadi ek maqam wo aata hai ki apne bachon ko yaad kar k bekarar hoke roti hain. Jab ye kafela karbala se madine pohcha janabe zainab s.a apne ghar me dakhil hui toh do chote-chote bistar nazar aaye. Janabe Zainab s.a ne Karbala ka rukh kar k kaha aye Aun-o-Mohammad mujhe maaf kar dena mai tumpe giriya na kar saki... Jab yaad aye bete zainab ye boli roker Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnasseb madar Bachon muaf karna x2 1. Shabash mere sheron amma ki laaj rakh li Dariya pe bhi pahuch kay tumne piya na pani Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon Shabash mere sheron amma ki laaj rakh li Dariya pe bhi pahuch kay tumne piya na pani Aye mere chand taron qurban jaun tumpar Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnasseb madar Bachon muaf karna x2 2. Tum hi batao pyaro roti mai tumpe kaise Tukde bine hasan kay dil ko hila rahe Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon Tum hi batao pyaro roti mai tumpe kaise Tukde bine hasan kay dil ko hila rahe Mai bhool jati kaise wo dardnaak manzar Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnasseb madar Bachon muaf karna x2 3. Jis naujawan ko maine aththarah saal pala Dekha sena me uska uljha hua kaleja Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon Jis naujawan ko maine aththarah saal pala Dekha sena me uska uljha hua kaleja Fursat na de rahi thi ek pal bhi yaad-e-akbar Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnasseb madar Bachon muaf karna x2 4. Gurbat me jo gareeb-e-zahra ka aasra the Kaate gye wo bazu abbas-e-bawafa kay Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon Gurbat me jo gareeb-e-zahra ka aasra the Kaate gye wo bazu abbas-e-bawafa kay Abbas ki judai thi koohe dard mujhpar Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnaseeb madar Bachon muaf karna x2 5. Waali ka mere sar pe saaya hai ab bhi baki Bhabhi rabab ki to duniya ujad chuki thi Aye mere mohammad, aye mere aon, aye mere dularon Waali ka mere sar pe saaya hai ab bhi baki Bhabhi rabab ki to duniya ujad chuki thi Pursa mai unko deti ya bain karti tumpar Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnaseeb madar Bachon muaf karna x2 6. Shayed Nadeem us dam bachon ne ye kaha ho Ham jante hain amma guzri hai aap pe jo x2 Sharminda ham ko keeje na aap ab ye kahkar Bachon muaf karna Rone na pai tumpar ye badnaseeb madar Bachon muaf karna x2 Access-: Azadari Nauha bachchon muaf karna Anjuman sipah-e-hussaini, bhanauli sadat Bhanauli sadat nohay 2023 Waiz Hasan Sultanpuri Nadeem Abbas Noha 2023 ►Social Media:- Subscribe :    / azadaribhanauli   Want to chat? Hit me up on social media! Instagram:   / iamrizvi   Facebook:   / bhanaulisadat   Hashtag:- #noha2023 #azadaribhanauli #noha #anjumansipahehussainibhanaulisadat