Перейти к содержимому

wah kya judo karam hai shahe batha tera | hadaiq e bakhshish | #naatsharif #lyrics

Gulam E Raza Mohammaddanish Shaikh

0:00 / 0:00

wah kya judo karam hai shahe batha tera | hadaiq e bakhshish | #naatsharif #lyrics

32 509 просмотров · 7 л. назад
Gulam E Raza Mohammaddanish Shaikh
6,09 тыс. подписчиков
32 509 просмотров · 7 л. назад
#fullnaat from hadaiq e bakhshish wah kya judo karam hai shahe batha tera Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra Tera Faiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala Tera Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya Tera Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada Tera Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta Tera Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera Aasmaan Khwan, Zameen Khwan Zamana Mehmaan Sahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera Tera Main To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E Habeeb Ya’ani Mehboobo Muheeb Me Nahi Mera Tera Tere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhe Kaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera Bahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka Pyasa Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta Tera Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske Khilaf Tere Daamam Me Chupe Chor Anokha Tera Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera Aik Main Kya Mere Isyaan Ki Haqeeqat Kitni Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hain Ishara Tera Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Padee Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Tera Tere Tukdo Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal Jhidkiya Khaaye Kaha Chor Ke Sadqa Tera Khwaro Bimaro Khatavaro Gunahgaar Hu Main Rafe’ao Nafe’ao Shafe’a Lakab Aaqa Tera Meri Taqdeer Buri Ho To Bhali Karde Ki Hain Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Kadoda Tera Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Mere Dil Ke Dhule Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye Tere Hi Qadmo  Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera Tu Ne Islam Diya Aaqa Tu Ne Jama’at Me Liye Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera Maut Sunta  Hu Sitam Talkh Hain Jahraaba-e Nab Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera Dur Kya Janiye Bad-kaar Pe Kaise Guzre Tere Hi Dar Pe Mare Be-kaso Tanha Tera Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hain Teri Jis Din Achho Ko Mila Jam Chalakta Tera Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah Jyot Padti Hain Teri Noor Hain Chanta Tera Teri Sarkaar Me Lata Hain Raza Usko Shafe’a Jo Mera Ghous Hain Aur Laadla Beta Tera