Rizq Mein Barkat Ka Khaas Amal | Rabi Ul Awwal Ka Khaas Amal | Durood Pak ﷺ
ذکرِ مصطفیٰ ﷺ
0:00 / 0:00
Rizq Mein Barkat Ka Khaas Amal | Rabi Ul Awwal Ka Khaas Amal | Durood Pak ﷺ
62 просмотра · 1 месяц назад
ذکرِ مصطفیٰ ﷺ
610 подписчиков
62 просмотра · 1 месяц назад
Rizq mein barkat aur kushadgi ke liye Rabi Ul Awwal Sharif ka khaas amal 🌾❤️
Is video mein rizq mein barkat ke liye ek khaas amal bataya gaya hai. Ek kilo ya ek muthi anaj lein aur us mein se 11 dane alag kar lein. Shuru aur aakhir mein Durood Pak 10 martaba parhein aur har dane par ek martaba Surah Kausar parh kar dam karein.
Is ke baad in 11 danon ko baqi anaj mein mila dein aur sara anaj parindon ko daal dein. Yeh amal Rabi Ul Awwal ki pehli Jumerat ko Isha ki namaz ke baad kiya jata hai.
Allah Ta'ala hamare rizq mein barkat, hamare gharon mein sukoon aur hamari zindagi mein khair-o-asani ata farmaye. Ameen 🤲❤️
Allahumma Salli Ala Muhammadin Wa Ala Aali Muhammad ﷺ
Agar aap ko video pasand aaye to Like karein, Channel ko Subscribe karein aur Durood Pak ki is pyari baat ko doosron tak zaroor pohanchayein. ❤️#RizqMeinBarkat #RabiUlAwwal #DuroodPak #DuroodSharif #SurahKausar #IslamicVideo #ZikrEMustafa #IslamicReminder #RizqKaAmal