विदेश की जिंदगी छोड़ गांव में कर रहे हैं Dragon fruit farming | Pitaya Fruit Farming in India
Indian Farm Rover
0:00 / 0:00
विदेश की जिंदगी छोड़ गांव में कर रहे हैं Dragon fruit farming | Pitaya Fruit Farming in India
68 851 просмотр · 3 дня назад
Indian Farm Rover
690 тыс. подписчиков
68 851 просмотр · 3 дня назад
विदेश की जिंदगी छोड़ गांव में कर रहे हैं Dragon fruit farming | Pitaya Fruit Farming in India
36 saal ki age mein ek young farmer ne foreign mein lagbhag ₹40 lakh ki annual CTC wali job chhodkar apne gaon Haryana mein farming ko apna career bana liya. Is video mein hum mile ek entrepreneur farmer se jo Dragon Fruit, yani Pitaya Fruit ki farming kar rahe hain aur apne farming experience aur savings ki madad se dheere-dheere apni zameen aur Dragon Fruit farming ka area bhi badha rahe hain. Is video mein humne Dragon Fruit farming ko ground level par samajhne ki koshish ki hai — Dragon Fruit ka origin kahan se maana jata hai, ye India mein kaise popular hua, aur Asia ke alawa Mexico jaise countries mein iska cultivation kyon kiya jata hai. Saath hi farmer se humne current Dragon Fruit market, fruit ke rates, marketing aur farming se judi practical challenges ke baare mein bhi jaana. Video mein Dragon Fruit farming ke Ring Pole Method aur Trellis Method dono ko detail mein samjhaaya gaya hai, jisse naye farmers ko in dono methods ko practically understand karne mein madad milegi. Yeh video hamare farmer ke real experience, knowledge aur field-level practices ko aap tak pahunchane ki ek koshish hai. Agar aap Dragon Fruit farming, Pitaya farming, modern agriculture, horticulture ya profitable farming ideas mein interested hain, toh video ko poora zaroor dekhein aur apni rai comment mein batayein.
#pitaya
#dragonfruitkikheti
#indianfarmrover