Перейти к содержимому

Subha sawere washing machine aur dher saare kaam! 🏡 Parindon ko daana aur mazedaar dinner | RS

Routine with RS🇧🇭

0:00 / 0:00

Subha sawere washing machine aur dher saare kaam! 🏡 Parindon ko daana aur mazedaar dinner | RS

20 просмотров · 17 часов назад
Routine with RS🇧🇭
110 подписчиков
20 просмотров · 17 часов назад
Aaj ke is vlog mein خوش آمدید! 💕 Aaj din ka aghaaz bohat masroofiyat ke saath hua, subha uth kar sab se pehle washing machine lagai, ghar ke dher saare kaam niptaye aur husband ke liye mazedaar sa nashta tayar kiya. Us ke baad ghar ki safai ki, kitchen ko chamkaya aur apne pyare se paudhon ko pani dene ke saath saath naye nikalne wale paudhon ki dekhbhaal ki. Saath hi chhat par ja kar nanhe mane parindon ko daana bhi dala. Aur din ke ikhtitam par raat ke khane mein garma garam aur mazedaar Aloo Matar wale chawal banaye jo sab ko bohat pasand aaye. Umeed hai aap ko meri aaj ki yeh routine bohat pasand aaye gi! Video pasand aaye toh like 👍 karein, share karein aur channel Routine with RS ko subscribe karna na bhulein! ❤️ #DailyVlog #RoutineWithRS #AlooMatarChawal #HousewifeRoutine #BahrainVlogs #DesiVlogger #PakistaniVloggers #HomeRoutine