Перейти к содержимому

Ayyam E Fatima Noha 2025 | Ali Wo Kitna Ghareeb Hoga | Ayaz Abbas Abidi | New Noha Bibi Fatima 2025

Ayaz Abbas Abedi

0:00 / 0:00

Ayyam E Fatima Noha 2025 | Ali Wo Kitna Ghareeb Hoga | Ayaz Abbas Abidi | New Noha Bibi Fatima 2025

4 710 просмотров · 10 месяцев назад
Ayaz Abbas Abedi
5,7 тыс. подписчиков
4 710 просмотров · 10 месяцев назад
Ayyam E Fatima Noha 2025 | Ali Wo Kitna Ghareeb Hoga | Ayaz Abbas Abidi | New Noha Bibi Fatima 2025 Reciter - Syed Ayaz Abbas Abidi Poetry - Molana Danish Mirza Audio - ODS Chorus - Rizwan Mirza Video - ‪@AzadariChittora‬ Lyrics:- Shikasta pehlu ho Jis ki zoja Ali wo kitna ghareeb hoga Khara he tanha sar e madina Ali wo kitna ghareeb hoga Wo Jis ki gardan me bandhi rassi Phiraya Jis ko bana ke qaidi Koi madad ko na jis ki aya Ali wo kitna ghareeb hoga Sitam ye ummat ne jo kia tha Dar e Ali ko jala diya tha Wo Jis ki hamsar ne khaya durra Ali wo kitna ghareeb hoga Wo hai zehra nabi ki beti Sanad ke tukre utha ke roi Khamosh pesh e lain khara tha Ali wo kitna ghareeb hoga Salam Jis ko khuda ka aya Usi Ali par ye waqt dekha Salam Jis ko kare na duniya Ali wo kitna ghareeb hoga Nabi ki beti guzargai he Na jane kesi ye be kasi he Uthae shab me janaza tanha Ali wo kitna ghareeb hoga He tuti pasli pata nahi he Koi bhi lab par gila nahi he Wo jis ke ghar me ho zaqmi zehra Ali wo kitna ghareeb hoga Yateem bachche the ma se lipte Farishte arshe bari pe roe Chura ke ma se wo khoon roya Ali wo kitna ghareeb hoga Ayaz o danish bayan ho kese Shikasta pehlu Ali na bhoole Ali ke dil par raha ye sadma Ali wo kitna ghareeb hoga