Перейти к содержимому

Madina 1400 Years Old Path - Where Prophet Muhammad ﷺ Walked - Masjid Nabawi To Masjid Quba Tour

LalGulab.com

0:00 / 0:00

Madina 1400 Years Old Path - Where Prophet Muhammad ﷺ Walked - Masjid Nabawi To Masjid Quba Tour

544 просмотра · 3 мес. назад
LalGulab.com
955 тыс. подписчиков
544 просмотра · 3 мес. назад
Madina 1400 Years Old Path - Where Prophet Muhammad ﷺ Walked - Masjid Nabawi To Masjid Quba Tour #madina Aaj ki video bari khaas hai, kyun ke aaj main aap ko lay jaon ga Madina shehar ki un streets mein jahan hamare pyare Nabi Hazrat Muhammad SAW Masjid Nabawi se Masjid Quba tak paidal safar farmaya kartay thay. Aap SAW kabhi Madina shehar mein ye shehar paidal aur kabhi apni oonti yani Al Qaswa par kiya kartay thay. Yeh wohi oontni thi jis par Hazrat Muhammad ﷺ Hijrat ke waqt Madinah tashreef le gaye aur Madinah mein aamad ka mashhoor waqia bhi is se linked hai. Aap SAW ne jis rastay par ye mubarak safar farmaya main aap ko usi rastay par aaj lay ja raha hon is video mein aaj aap mujhe bhi dekh sakain gey. Main jahan se guzra us jagah ki is video mein aap ko maloomat bhi faraham ki hai. Ye Madina ki historical street hai jo paidal chalnay walon ke liye intihai mubarak aur khubsurat walkway hai. Maine is video mein Masjid Nabawi ke paas se ye safar start kiya aur 1 hour paidal chaltay hue Masjid Quba pohancha. Rastay mein wo jagah woh Madina ka 1400 saal old ilaqa bhi aya jahan Banu Najjar ki bachiyon ne Aap ka Makkah se Madina hijrat ke safar ke doraan khushi se istaqbal kiya tha is sher ke sath. طَلَعَ الْبَدْرُ عَلَيْنَا Aap isi video mein Masjid Jummah (Masjid Juma) ke muqaam par wo ilaqa bhi dekh sakain gey jahan 1400 saal ke old Madina mein Banu Salim bin Auf (بنو سالم بن عوف) ka qabeela raha karta tha. Bani Salim was a tribe during the era of Prophet Muhammad PBUH. Madisa ke is tareekhi rastay ki history, facts aur woh maloomat aaj aap is video mein jaan sakain gey jo aap ko aur kisi video mein nahin milaingi kyun ke maine is content ko bananay ke liye research bhi ki hai aur khud ye Madina tour kiya hai. Jo log Old Madina mein dilchaspi rakhtay hain Madina ke guzray zamanon ko jaana chahtay hain madina ki tareekh mein dilchaspi rakhtay hain ye video un ke liye behtareen hai.