Khasta Mathri Recipe | Maida Aur Gehu Ke Aate Ki Layered Crispy Mathri | Nisha Jain
Nisha Jain
0:00 / 0:00
Khasta Mathri Recipe | Maida Aur Gehu Ke Aate Ki Layered Crispy Mathri | Nisha Jain
68 просмотров · 3 дн. назад
Nisha Jain
173 подписчика
68 просмотров · 3 дн. назад
Jai Jinendra 🙏
Aaj hum banane wale hain ghar par ekdum crispy, kurkuri aur khasta Mathri! 😍
Is recipe mein humne Gehu ka Aata aur Maida dono ka use kiya hai, aur sata lagakar banayi hain sundar crispy layers. Chai ke saath khane ke liye ye namkeen Mathri ekdum perfect hai. ☕
Is Mathri ko aap ghar par easily bana sakte hain aur air-tight container mein store karke jab chahe enjoy kar sakte hain.
📝 Khasta Mathri Recipe – Ingredients:
Gehu ka Aata – 1 Katori
Maida – 1 Katori
Ghee – 1 Dal Wala Chammach (Moyan ke liye)
Namak – 2 Chhote Chammach
Kali Mirch Powder – ½ Chhota Chammach
Bhuna Jeera Powder – ½ Chhota Chammach
Ajwain – 1 Chhota Chammach
Chilli Powder – Thoda sa
Kasuri Methi – Thodi si
Gunguna Paani – Aata goondhne ke liye
Sata banane ke liye:
Maida – 2 Chammach
Ghee – Zaroorat ke anusaar
Talne ke liye:
Oil – Zaroorat ke anusaar
👩🍳 Recipe Method:
1. Sabse pehle ek bartan mein gehu ka aata aur maida mix karein.
2. Ismein kali mirch, jeera powder, ajwain, chilli powder aur crushed kasuri methi daalein.
3. Garam ghee aur namak daalkar achhe se mix karein.
4. Gungune paani se thoda tight aata goondh lein aur 15 minute dhak kar rakh dein.
5. Maida aur ghee milakar sata taiyar kar lein.
6. Aate ki badi roti belein, us par sata lagayein aur maida sprinkle karke fold karein. Isi process ko 3-4 layers ke liye repeat karein.
7. Halke haathon se dobara belein aur fork se chhote-chhote holes kar dein.
8. Dhakkan ya cutter ki madad se gol-gol Mathri kaat lein.
9. Dheemi se medium aanch par Mathri ko golden aur crispy hone tak fry karein.
10. Thanda hone dein aur air-tight container mein store karein.
Aapki ekdum crispy, layered aur khasta Mathri taiyar hai! ❤️
Aap bhi is recipe ko apne ghar par zaroor try karein.
Video pasand aaye toh Like, Share aur Channel ko Subscribe karna na bhoolein.
Jai Jinendra 🙏
#KhastaMathri #MathriRecipe #CrispyMathri #NamakPara #IndianSnacks #TeaTimeSnacks #NishaJainKitchen