Перейти к содержимому

Chicken Achar Gosht Recipe | Ghar Ke Bane Achar Masala Se Dhaba Style Achari Chicken | Zaika Recipes

zaika recipes official 😋

0:00 / 0:00

Chicken Achar Gosht Recipe | Ghar Ke Bane Achar Masala Se Dhaba Style Achari Chicken | Zaika Recipes

53 просмотра · 2 нед. назад
zaika recipes official 😋
31 подписчик
53 просмотра · 2 нед. назад
Aaj ki recipe hai Chicken Achar Gosht, jo ghar ke bane achar masala se banti hai 😋 Is video mein masala peesne se le kar dum tak poori recipe step by step dikhayi hai.📝 Achar Masala: Zeera, saboot dhania, methi dana, saunf aur kalonji 📝 Baaki Ingredients: Chicken, dahi, lemon, hari mirch (bharne ke liye), adrak, lehsan, hari mirch, pyaz ka paste, tamatar paste, lal mirch, haldi, namak, oil 👩‍🍳 Method: Zeera, saboot dhania, methi dana aur saunf ko pees lein, phir kalonji mila kar achar masala tayyar karein. Aadha masala alag rakh dein. Baaki aadhe mein dahi aur lemon mila kar hari mirchon mein bharein. Adrak, lehsan, hari mirch aur pyaz ka paste bana lein. Paste ko oil mein oil upar aane tak bhunein. Chicken daal kar rang badalne tak pakayein. Tamatar paste daal kar oil upar aane tak bhunein. Lal mirch, haldi aur namak daal kar bhunein. Dahi aur bacha hua achar masala daalein, phir bhari hui hari mirchein daal kar dum par rakh dein. Recipe pasand aaye to like karein, comment mein batayein kaisi bani, aur Zaika Recipes ko subscribe karein ❤️ #ChickenAcharGosht #AchariChicken #DhabaStyleChicken #ZaikaRecipes