Shan Masala Chicken Nihari | Bahar Ki Nihari Bhool Jayen | Quick & Easy Chicken Nihari
zindagi ka zayqa
0:00 / 0:00
Shan Masala Chicken Nihari | Bahar Ki Nihari Bhool Jayen | Quick & Easy Chicken Nihari
85 просмотров · 3 нед. назад
zindagi ka zayqa
77 подписчиков
85 просмотров · 3 нед. назад
Aaj banayein ghar par Shan Masala se delicious Chicken Nihari! 🤤 Itni tasty aur rich nihari ke bahar ki nihari bhi bhool jayen. Ye recipe easy hai aur perfect desi taste ke saath ghar mein asaani se ban jati haiIngredients:
Chicken — ½ kg
Oil — normal se thora zyada
Large onion — 2, thinly sliced
Ginger garlic paste — 1 tbsp
Shan Nihari Masala — ½ packet
Atta — 4 tbsp
Water — 2 mugs
Green chilies — 3
Garnishing:
Lemon
Fresh coriander
Chopped green chilies
Fried onion
Julienne ginger
👩🍳 Method:
Karahi mein oil garam karke 2 large sliced onions ko golden brown karein aur nikal lein.
Isi oil mein 1 tbsp ginger garlic paste daal kar 2 minutes bhunein.
Ab ½ kg chicken add karke 4 minutes achi tarah fry karein.
½ packet Shan Nihari Masala add karein aur achi tarah bhunein, jab tak oil separate na ho jaye.
4 tbsp atta ko 2 mugs pani mein achi tarah mix karke chicken mein add karein.
3 minutes continuously mix karein taake lumps na banein.
Ab dhak kar low flame par 1–1½ ghante pakayein, jab tak nihari properly thick ho jaye aur takreeban 1 mug gravy reh jaye.
Aakhir mein 3 green chilies daal kar flame off kar dein.
Serve karte waqt upar se reserved oil daalein.
Lemon, coriander, green chili, fried onion aur ginger se garnish karein