Перейти к содержимому

🇸🇦 Saudi Ke Purane Zamane Ki Yaadein! | 🫖 Shai & Simsim Café Tour 🤎✨

Hamari Zindagi Saudi Mein 🇸🇦

0:00 / 0:00

🇸🇦 Saudi Ke Purane Zamane Ki Yaadein! | 🫖 Shai & Simsim Café Tour 🤎✨

86 просмотров · 3 нед. назад
Hamari Zindagi Saudi Mein 🇸🇦
496 подписчиков
86 просмотров · 3 нед. назад
Assalaam o Alaikum Guys, kesa hain aap sab? 🤍✨ Aaj ke vlog mein hum ja rahe hain Shai & Simsim — شاي وسمسم, ek traditional Saudi café ko explore karne! 🇸🇦🫖 Is café ki sab se special cheez jo mujhe lagi, woh tha iska purane zamane wala atmosphere. 🥹🤎 Jagah jagah itni saari antique aur traditional pieces rakhi hui thin ke honestly aisa feel ho raha tha jaise hum Saudi ke purane khoobsurat waqt ki aik choti si jhalak dekh rahe hon. Humne café ka thora sa tour kiya, different areas explore kiye aur un old-style details ko dekha jo is jagah ko itna unique banati hain. Neeche ka area kaafi lively tha, jabke weather ki wajah se first floor zyada peaceful tha, toh wahan bhi araam se explore karne ka chance mil gaya. ✨ Of course, humne chai ke saath kuch meetha bhi enjoy kiya 🫖🍮 aur thori der is cozy aur nostalgic atmosphere mein time spend kiya. Agar aapko traditional Saudi places, old-time vibes, cafés, food aur family outings pasand hain, toh ye vlog definitely aapko pasand aayega. 🤍🇸🇦 Video pasand aaye toh like karein, channel ko subscribe karein aur comments mein batayein ke next hum kis jagah ka tour karein! 🥹✨ Milte hain next vlog mein! Allah Hafiz 🇸🇦💚✨ “Yeh safar un sab ke liye hai jo ghar se door apna ghar banate hain.” 🤍🌙 #ShaiAndSimsim #شاي_وسمسم #SaudiArabia #SaudiVlog #CafeTour #SaudiCafe #TraditionalSaudi #FamilyVlog #SaudiLife #HailVlog #CafeVlog #SaudiCulture #FamilyOuting 🫖🤎🇸🇦