Dair Colony Peshawar Haadsa: Umar Aur Abu Bakr Ke Walid Ka Dardnaak bayan#KPBreakingNews
KP Breaking News update
0:00 / 0:00
Dair Colony Peshawar Haadsa: Umar Aur Abu Bakr Ke Walid Ka Dardnaak bayan#KPBreakingNews
697 просмотров · 8 дн. назад
KP Breaking News update
226 подписчиков
697 просмотров · 8 дн. назад
Peshawar (KP Breaking News) — Dair Colony mein pesh aane wale afsosnaak school haadse ke baad aaj doosre din bhi ilaqa sogwar raha. Mukhtalif gharon mein فاتحہ خوانی ka silsila jari raha aur har aankh ashkbaar nazar aayi.
Is dardnaak haadse mein apne do beton Umar aur Abu Bakr ko khone wale ek rehayshi se hamari mulaqat hui. Gham se nidhaal walid ne apna dard bayan karte hue kaha ke yeh manazir kisi qayamat se kam nahi thay. Unhon ne intizamiya ki ghaflat par bhi apne تحفظات ka izhar kiya.
Is ke ilawa sabiq MPA Dr. Zakir aur Jamaat-e-Islami ke rukan Muhammad Ali se bhi is haadse ke hawale se guftagu hui.
Aaiye sunte hain ke mutasira khandan aur siyasi rehnumaon ne is afsosnaak waqye ke bare mein kya kaha aur zimmedaron ke hawale se kya mutalibat samne aaye.
Mazeed tafseelat ke liye video mukammal dekhein.
Report: Muhammad Khalid
KP Breaking News | Peshawar
#DairColony #PeshawarSchoolIncident #KPBreakingNews #UmarAurAbuBakr #MuhammadKhalid