रट्टा गांव में आखिर हुआ क्या? | मारपीट से Stone Pelting तक | BGT MEDIA Ground Report | Yamlesh
BGT MEDIA
0:00 / 0:00
रट्टा गांव में आखिर हुआ क्या? | मारपीट से Stone Pelting तक | BGT MEDIA Ground Report | Yamlesh
54 985 просмотров · 3 дня назад
BGT MEDIA
96,8 тыс. подписчиков
54 985 просмотров · 3 дня назад
Balaghat ke Bharveli Thana kshetra ke Ratta gaon mein subah kareeb 9 baje shuru hua vivad kuch hi der mein tanav aur bawal mein badal gaya.
Ek Adivasi yuvak ke saath kathit maarpeet ke baad Sarpanch, Deputy Sarpanch aur anya logon ke beech vivad badhne ki baat saamne aayi. Iske baad pathrav aur todphod ki ghatna hui.
Ramcharan Damahe ke ghar aur kuch vehicles ko nuksan pahunchne ki baat saamne aayi hai. Police ne Ramcharan Damahe aur unke parivar ko suraksha mein bahar nikala. Mauke par police bal tainat kiya gaya hai.
Graminon ki taraf se kathit avaidh gitti aur ret se jude kaam ko lekar bhi aarop lagaye gaye hain. In aaropon ki swatantra pushti jaanch ka vishay hai.
BGT MEDIA ki is Ground Report mein dekhiye — Ratta mein vivad ki shuruaat kaise hui? Mamla itna bada kaise hua? Police ke saamne kya hua? Aur ab gaon mein kya hai ground situation?
📍 Ratta Village | Bharveli | Balaghat | Madhya Pradesh
BGT MEDIA — Ground se Seedhi Report.
#BGTMedia #Balaghat #Ratta #RattaVillage #Bharveli #BharveliPolice #BalaghatNews #GroundReport #BreakingNews #RattaNews #VillageClash #BalaghatGroundReport #MadhyaPradeshNews #MPNews #HindiNews #ग्राउंडरिपोर्ट #बालाघाट #रट्टा #भरवेली