Перейти к содержимому

Rahul Gandhi पहुंचेंगे Jagla | Baiga बच्चों की मौत पर 32 vs 43 का सवाल | BGT MEDIA

BGT MEDIA

0:00 / 0:00

Rahul Gandhi पहुंचेंगे Jagla | Baiga बच्चों की मौत पर 32 vs 43 का सवाल | BGT MEDIA

17 706 просмотров · 2 дня назад
BGT MEDIA
96,9 тыс. подписчиков
17 706 просмотров · 2 дня назад
Balaghat ke Jagla gaon mein Baiga adivasi parivaron ke bachchon ki maut ka mamla ab siyasi aur samajik dono star par bada mudda ban gaya hai. 1 October ko Rahul Gandhi Jagla gaon pahunchkar un Baiga parivaron se mulaqat karenge, jinhone bimari ke dauran apne bachchon ko khoya hai. Prashasan ke mutabik ab tak 32 bachchon ki maut hui hai, jabki Congress MLA Sanjay Uikey ne 43 bachchon ki maut ka dawa kiya hai. Congress ne sarkar se is poore mamle par White Paper jaari karne ki maang ki hai. Wahin BJP ka kehna hai ki sarkar ne mamle ko gambhirta se liya hai. Sarkar ke mutabik hazaron health screenings, vaccination, malaria testing aur ghar-ghar screening jaise health interventions kiye gaye hain. Is report mein hum samajhne ki koshish karte hain— 32 ya 43? Bachchon ki maut ka actual figure kya hai? Medical causes kya the? Kya Measles, Malaria aur Malnutrition ka role tha? Kya affected families tak health services samay par pahunchi? #Balaghat #RahulGandhi #Jagla #BaigaTribe #BaigaAdivasi #BalaghatNews #MadhyaPradesh #GroundReport #GroundReality #TribalNews #ChildDeath #HealthCrisis #SanjayUikey #NishantBisen #Measles #Malaria #Malnutrition #RahulGandhiBalaghat #BGTMedia #MadhyaPradeshNews